Daleel aur hikmat be-libasi mana hai. Aye Adam ki Aulaad! Hum ne tumahray liye libaas paida kiya hai jo tumahre qabil e parda badan ko chupata hai.Aur Taqwe ka Libas sabse badh kar hai. [Surah Aara’f 7:26] Ayai Nabi(SAW) apni biwiyoo,aur apni baaitiyoo ko aur mominoo ki auratoo ko ferma dain keh woh apne oper apni chadrain dal liya karain yeh qareeb ter hai keh un ki pahchan ho jai to unhain na sataya jaye aur Allah bakhshne wala nihayat maherban hai.(SORAH AHZAB-59) Aur jab tum un(Nabi(SAW) ki biwiyoo) sai koi cheez mango to un sai perdai kaii peechai sai mango.Yeh bat tumharai aur un ke diloo kai liyai zayadah pakeezah hai.(SORAH AHZAB-53) Aur bemaqsad ghar se niklna mana hai- Aur gharo me qarar se raho. Aur sabiq dor jahiliyat ki saj dhaj na dikhati phiroo. [Surah Al Ahzab 33:33] CHAHRE KA PARDA- Daleel No-1 “Sayyada Asma Binnat e Abu Bakar (raziallahotalaanha) farmati hen k “Hum apne chehro ko mardo se chupaya karti thee”.. (Sahi Ibn e Khuzaima-269) Daleel N