Bismillahirrahmanirrahim --------------- ✦ Banda tab tak momeen nahi ho sakta jab tak wo in cheezo par iman na le aaye.. --------- ✦ Rasool-Allah ﷺ ne farmaya koi banda us waqt tak momeen nahi ho sakta jab tak wo char cheezo par iman na le aaye Allah wahdahu la sharik par, mere (yani Muhammad ﷺ ke) Allah ke Rasool hone par , Maut ke baad zinda hone par aur taqdeer par Sunan Ibn maja, Jild 1, 81-Sahih --------- ✦ Rasool-Allah ﷺ ne farmaya koi banda tab tak momeen nahi ho sakta jab tak uske walid aur uski aulad aur tamam logo se zyada uske dil mein meri muhabbat na ho jaye Sahih Bukhari, Jild 1, 15 --------- ✦ Rasool-Allah ﷺ ne farmaya koi banda tab tak momeen nahi ho sakta jab tak apne bhai ya padosi ke liye wahi pasand na karne jo apne liye karta hai Sahih Muslim, Jild 1, 171 --------- ✦ Rasool-Allah ﷺ ne farmaya koi banda us waqt tak momeen nahi ho sakta jab tak achchi aur buri taqdeer par iman na laye yaha tak ki wo ye yakeen na kar le ...