Posts

Showing posts with the label Jamia Tirmidhi

Featured Post

Khula (talaq) lene wali aurtein munafiq hain

Image
Bismillahirrahmanirrahim  ✦ Hadith : Khula (talaq) lene wali aurtein munafiq hain -------------  ✦ Soban Radi Allahu Anhu se rivayat hai Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya khula (talaq) lene wali aurtein munafiq hain. Jo aurtein apne shohar se bina kisi wajah se khula (talaq) leti hain wo jannat ki khushbu bhi nahi paa sakegi Jamia Tirmizi, Jild 1 , #1188, 1189-Sahih -------------  

Hadith: Jhoothi Qasam khane par dil mein ek (kala) nuqta daal diya jata hai

Image
*Bismillahirahmanirrahim* ✦ *Hadith: Jhoothi Qasam khane par dil mein ek (kala) nuqta daal diya jata hai  ------ ✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya koi Qasam khane wala agar qasam khaye aur faisla usee qasam par hone wala ho, phir wo us qasam mein machchar ke par ke barabar bhi jhooth shamil kar de to uske dil par ek (kala) nuqta daal diya jata hai jo qayamat tak baqi rahega Jamia Tirmizi, Jild 2, 939-Sahih ------

Share karne se pahle ek baar jarur pura padhkar sawab hasil kar liiyega

Image
Bismillahirrahmanirrahim ------------- ✦ Share karne se pahle ek baar jarur pura padhkar sawab hasil kar liiyega ------------- ✦ La ilaha illAllah ------------- ✦ Alhamdulillahi Rabbil Aalamin ------------- ✦ SubhanAllahi wa biHamdihi -------------  ✦ La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, lahul-mulk wa lahul-hamd Yuhi wa Yumeet, wa huwa Ala kulli shayin qadir ------------- ✦ La Hawla wa La Quwwata illa billah ------------- ✦ Allahumma Salli Ala Muhammed Wa Aali Muhammed  ------------- ✦ Hadith 1 : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo bhi (ek baar) لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ  La ilaha illAllah kahega uske liye 20 nekiya likhi jayengi aur 20 gunah mita diye jayenge Masnad Ahmed, 7813-Sahih ------------- ✦ Hadith 2 : Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jo koi dil se  الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ Alhamdulillahi Rabbil Aalamin  kahega (yani zuban ke saath dil se...

Sakhti Aur Pareshani ke waqt ki dua

Image
Bismillahirrahmanirrahim ✦ Sakhti Aur Pareshani ke waqt ki dua ------------------- ✦ Anas Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam par jab koi sakhti ya pareshani pesh aa jati to Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ye dua farmate   يَا حَىُّ يَا قَيُّومُ بِرَحْمَتِكَ أَسْتَغِيثُ  Ya Hayyu Ya Qayyum, Bi-Raḥmatika Astagith Eh Zinda Hamesha Qayam rahne wale tere rahmat ke waseele se faryad karta hu Jamia Tirmizi,Jild2,1451-Hasan ----------

Ek Momeen ke dusre momeen par 6 huquq hain

Image
*Bismillahirrahmanirrahim* *Mafhum e Hadith: Ek Momeen ke dusre momeen par 6 huquq hain* ------ ✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Momeen ke Momeen par 6 huquq hai 1. jab beemar ho to uski ayadat Karen 2. Jab maut ho jaye to uske janaze mein shareek ho 3. Jab dawat Karen to Qubul Karen 4. Jab mile to salam Karen  5. Jab usko cheenk aaye to uski cheenk Ka Jawab de  6. Uski mojudgi aur gair mojudgi mein uska bhala chahe Jamia Tirmizi, Jild 2,632-Hasan ---------

Mushkil Waqt Mein Padhne Ki Dua

Image
Bismillahirrahmanirrahim  ✦ Mushkil Waqt Mein Padhne Ki Dua ---------------------------------------------- ✦ Al Quran : Jin Logon ne Allah aur uske Rasool ka hukm mana , iske bawajud ke unhe zakhm lage huye they , jo unmein se neik aur parhaizgar huye unke liye bada ajar hai , Jinhe (munafiq) logo ne kaha ki (Mushriko aur kafiro ne) tumahare muqable ke liye saman jama kiya hai , isliye tum unse daro to (ye sunkar) unka imaan aur zyada ho gaya aur wo kahne lage ki Hasbunallah wa naimal wakeel  (Humko Allah kafi hai aur wo behatreen kaarsaz hai) Surah Aal-e-imran , Aayat 172-173 ✦ Hadith : Abu Saeed Khudri Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne faramaya main kis tarah aaram karu jabki usne(israfil Alaihi salam ne) soor mein munh lagaya hua hai aur unke kaan Allah subhanahu ke hukm ke muntazir hain ki wo kab phunkne ka hukm de de aur wo phunk de ye baat Sahaba Radi Allahu Anhu ke dil par sakht (gamnaak) guzri...

Deen e Islam par Qayam rahne ki dua

Image
Bismilahirrahmanirrahim  ✦ Deen e Islam par Qayam rahne ki dua  ------------ ✦ Shahr bin Hawshab Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki maine Umm Salma Radi Allahu Anha se pucha ki Eh ummul Momeenin Rasool-Allah  Sal-Allahu Alaihi wasallam aapke pass jab rahte to aksar kaunsi dua kiya karte they , unhone jawab diya  يَا مُقَلِّبَ الْقُلُوبِ ثَبِّتْ قَلْبِي عَلَى دِينِكَ Ya Muqallib Qulub thabbit Qalbi Ala Deenak Eh dilo ko phenrne wale mere dil ko tere deen par qayam rakh  Phir farmane lagi ki maine Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam se arz kiya ki aap aksar yahi dua kyu kiya karte hain , Aap Sal- Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Eh Umm Salma Radi Allahu Anha koi shakhs aisa nahi ki uska dil Allah ki do ungliyo ke beech mein na  ho wo jisko chahta hai (haq par) qayam rakhta aur jisko chahta hai teda kar deta hai (isliye humko ye dua maangte rahna chahiye) Jamia Tirmidhi, Vol 2, 1446 –Sahih ------------

Bahut zyada baat karna dilo ko Sakht Bana deta hai

Image
Bismillahirahmanirrahim Mafhum e Hadith: Bahut zyada baat karna dilo ko Sakht Bana deta hai --------- ✦  Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah ke zikr ke siwa bahut zyada batein karne se bacho isliye ke Allah subhanahu ke zikr ke siwa zyada bolna dil ko sakht bana deta hai aur logo mein Allah Subhanahu se Sabse zyada door sakht dil wala hoga Jamia Tirmaizi, Jild 2, 298-Hasan ---- cruiser auto recalls vehicle recalls automobile hydraulics car amplifier old car car problems power supplies dc power supply cheap rugs ac power supply adapters12v to 120v ac adapters 300w power supply ac adaptors   power adapter 12v power supply 12v portable power station 12v cigarette plug dc power converters ac to dc adapter 12v portable tv 590/mo switch mode power supply 12v tv 40,500/mo dc power adapters 12vdc power supply Adform Parent MediaScience Quantcast luxury brand marketing sauna   Advertising Alliance ScaleOut trade marketing ad track...

Jannat ke kamrey (room)

Image
Bismillahirahmanirrahim Hadith : Jannat ke kamrey (room) ------------- ✦  Hazrat Ali Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Jannat mein aise kamre hain jinka bahar ka hissa andar se aur andar ka hissa bahar se nazar aayega. (ye sun kar) ek aarabi ne khade ho kar arz kiya Ya Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam wo kiske liye hain ? to Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Jo achchi baat kare, khana khilaye, Aksar roze rakhe aur Allah ki raza ke liye raat mai us waqt namaz padhe jab log soye ho Jamia Tirmizi, Jild 1, 2048-Hasan ------------- GREE GroupM Guru Media HealthiNation Hearst Digital Media Hybrid icontext   Ignite Video ikoo IMT Independent Traveler Inneractive Innity InPowered Inspired Mobile Interactive Media Sales Interactive One InterCLICK Internet Brands iPromote IQM Kapanlagi KPI Solutions Lee Enterprise Liftoff Liquidus Local Corporation Longtail LookSmart Lotame Madhouse Mobile ...

Cheenk aane par jo Alhamdulillah kahe usee ko YarhamakAllah kahna chahiye

Image
Bismillahirrahmanirrahim* ✦ *Cheenk aane par jo Alhamdulillah kahe usee ko YarhamakAllah kahna chahiye* ------ ✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke paas do admiyon ko cheenk aayee Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Ek ki cheenk par dua di (yani yarhamakAllah kaha) aur dusre ki cheenk Ka Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Jawab nahi diya , usne Kaha Ya Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam Aap ne uski cheenk par dua di aur meri cheenk par Aap ne dua Nahi di, to Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya unko cheenk aayee to unhone Allah Subhanahu ki hamd bayan ki aur aapko cheenk aayee to aapne Allah Subhanahu ki hamd bayan nahi ki Jamia Tirmaizi, Jild 2,640-Sahih ------

Jo shaksh kisi Maa ko uske bachche se juda karega

Image
Bismillahirrahmanirrahim Hadith : Jo shaksh kisi Maa ko uske bachche se juda karega to Allah subhanahu Qaymat ke din usko uske mehboob logo se juda kar dega ------- ✦ Anas Radi Allahu Anhu se riwayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jo shaksh kisi Maa ko uske bachche se juda karega to  Allah subhanahu Qaymat ke din usko uske mehboob logo se juda kar dega  Jamia tirmizi, Jild 1, 1291-Hasan -------

Banda tab tak momeen nahi ho sakta jab tak wo in cheezo par iman na le aaye..

Image
Bismillahirrahmanirrahim --------------- ✦ Banda tab tak momeen nahi ho sakta jab tak wo in cheezo par iman na le aaye.. --------- ✦ Rasool-Allah ﷺ ne farmaya koi banda us waqt tak momeen nahi ho sakta jab tak wo char cheezo par iman na le aaye Allah wahdahu la sharik par, mere (yani  Muhammad ﷺ ke) Allah ke Rasool hone par , Maut ke baad zinda hone par aur taqdeer par Sunan Ibn maja, Jild 1, 81-Sahih --------- ✦ Rasool-Allah ﷺ ne farmaya koi banda tab tak momeen nahi ho sakta jab tak uske walid aur uski aulad aur tamam logo se zyada uske dil mein meri muhabbat  na ho jaye Sahih Bukhari, Jild 1, 15 --------- ✦ Rasool-Allah ﷺ ne farmaya koi banda tab tak momeen nahi ho sakta jab tak apne bhai ya padosi ke liye wahi pasand na karne jo apne liye karta hai Sahih Muslim, Jild 1, 171 --------- ✦ Rasool-Allah ﷺ ne farmaya koi banda us waqt tak momeen nahi ho sakta jab tak achchi aur buri taqdeer par iman na laye yaha tak ki wo ye yakeen na kar le ...

Quran aur Hadees ki rOshni me Parde ka Hukum

Daleel aur hikmat be-libasi mana hai. Aye Adam ki Aulaad! Hum ne tumahray liye libaas paida kiya hai jo tumahre qabil e parda badan ko chupata  hai.Aur  Taqwe ka Libas sabse badh kar hai. [Surah Aara’f 7:26] Ayai Nabi(SAW) apni biwiyoo,aur apni baaitiyoo ko aur mominoo ki auratoo ko ferma dain keh woh apne oper apni chadrain dal liya karain yeh qareeb ter hai keh un ki pahchan ho jai to unhain na sataya jaye aur Allah bakhshne wala nihayat maherban hai.(SORAH AHZAB-59) Aur jab tum un(Nabi(SAW) ki biwiyoo) sai koi cheez mango to un sai perdai kaii peechai sai  mango.Yeh  bat tumharai aur un ke diloo kai liyai zayadah pakeezah hai.(SORAH AHZAB-53) Aur bemaqsad ghar se niklna mana hai- Aur gharo me qarar se raho. Aur sabiq dor jahiliyat ki saj dhaj na dikhati phiroo. [Surah Al Ahzab 33:33] CHAHRE KA PARDA- Daleel No-1 “Sayyada Asma Binnat e Abu Bakar (raziallahotalaanha) farmati hen k “Hum apne chehro ko mardo se chupaya karti thee”.. (Sahi Ibn e Khuza...