Bismillahirrahmanirrahim Hadith: Agar kisi ko kasam khani ho to Allah ki hi Qasam khaye warna khamosh rahe Allah Subahanhu tumhari be irada kasmo par tumhey naki pakadta hai lekin un kasmo par pakadta hai jinhey tum pukhta (mazbut ) kar detey ho , uska kaffara 10 Mohtajon ko awsat darjey ka khana khilana hai jo tum apney ghar walo ko khilatey ho ya 10 miskino ko kapdey dena ya Ek Ghulam Aazd karna phir jo shaksh ye na kar paye to wo 3 din ke rozey rakhey ye tumhari kasmo ka kaffara hai jab tum kasam kha lo ( aur usey tod do) aur tumhey chahiye ki apni kasmo ki hifazat karo , Allah Subhanahu isi tarah tumharey liye hukm bayan karta hai taki tum Shukar karo {AL Quran, Surah Al Maeda (5), Verse 89} Hazrat Abdullah bin umar Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya ki agar kisi ko kasam khani ho to Allah ki hi kasam khaye warna khamosh rahey. {Sahih Bukhari, Vol4, 2679} Ibn 'Umar Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki wo Umar bin k...