Bismillahirrahmanirrahim #WhoisMuhammad ( Sal-Allahu Alaihi Wasallam ) Muhammad Sal-Allahu Alaihi Wasallam wo hain 1. Jinhone jung ka duarn bhi aurton aur bachcho ko qatl karne se mana kiya. Sahih Bukhari, Vol 4, 3014 2. Jinhone farmaya ki jo shaksh kisi aisee jaan ko maar dale jiska ahad kar chuka ho (uske Jaan ki amaan de chuka ho) to phir wo jannat ki khushbu bhi nahi paa sakega Sahih Bukhari, Vol8, 6914 3. Jinhone farmaya ki Jab do shaksh gaali galoch kare to dono ka gunaah usi par hoga jo Ibtida (shurooaat) karega jab tak mazloom zyadati na karey Sahih Muslim, Vol 6, 6591 4. Jinhone farmaya ki Main us shakhs ke liye jannat ke atraf mein ek ghar ki zamanat deta hu jo haq par hone ke bawajud jhagda chodh de Sunan Abu Dawud, Vol 3, 1372-Hasan 5. Jinhone farmaya ki Imaan ke aitbar se Kamil Momeen wo hain jinke Akhlaq behatreen hain Sunan Abu Dawud, Vol 3 ,1257-Sahi...