Posts

Showing posts with the label Al slisila as sahiha

Featured Post

Subah ko padhne ka azkar

Image
Bismillahirrahmanirrahim  ----------- ✦ Abdul Rahman Radi Allahu anhu apne walid se rivayat karte hain ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam humko sikhaya karte they ki jab subah ho to ye kaha karo  أَصْبَحْنَا عَلَى فِطْرَةِ الْإِسْلَامِ وَعَلَى كَلِمَةِ الْإِخْلَاصِ وَعَلَى دِينِ نَبِيِّنَا مُحَمَّدٍ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَعَلَى مِلَّةِ أَبِينَا إِبْرَاهِيمَ حَنِيفًا مُسْلِمًا وَمَا كَانَ مِنْ الْمُشْرِكِينَ --------- ✦ Asbahna Ala Fitratil Islam , Wa Ala kalimatil ikhlas Wa Ala deeni Nabeeyeena MUhammadin Sal-Allahu Alaihi Wasallam Wa Ala Millati abeena Ibrahima Haneefan Musliman, Wama kana minal mushrikeen --------- ✦ Humne Fitrat e islam par aur Kalma e Ikhlas par, aur apne Nabee Muhammed Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke deen par aur apne walid Ibrahim Alaihi Salam jo musalman they aur mushriko mein se na they ki millat par Subah ki. --------- At Tabrani - 293-Sahih Masnad Ahmed 14938-Sahih As-SilSila As-Sahiha , 2905 ========= ...

Masajido ko Aabad Karne wale Allah Subhanahu Ke Padosi hai

Image
Bismillahirahmanirrahim Hadith : Masajido ko Aabad Karne wale Allah Subhanahu Ke Padosi hai ------------- ✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu Qayamat ke din aawaz dega mere Padosi Kaha hai, mere Padosi Kaha hai farishtein kahenge Ya RABB kaun is layaq hai ke wo Aap Ka Padosi bane , Allah Subhanahu farmayega Masajido ko Aabad Karne wale Kaha hai (yani wo Allah ke padosi hain)  Al-Silsila-As-Sahiha # 561 -----

Ye tee surah tumhe har cheez ke liye kaafi ho jayegi

Image
Bismillahirrahmanirrahim ✦ Hadith:  Ye tee surah tumhe har cheez ke liye kaafi ho jayegi ---------------------- ✦ Abdullah bin khubayb Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Subah aur sham 3 baar Surah Al-Ikhlas , Surah Al-Falaq Aur Surah An-Nas padh liya karo , ye tumhe har cheez ke liye kaafi ho jayegi (yani har tarah ki pareshaniyo se bachne ke liye ye kaafi hain) Sunan Abu dawud, Jild 3, 1643-Hasan ✦  Uqba bin amir radi allahu anhu se rivayat hai ki RasoolAllah  Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya har namaz ke baad  aakhri teen surah yani Surah Al-Ikhlas, Surah Al-Falaq  aur Surah An-Nas padha karo Al Silsila As sahiha, 2776 ----------------------

Subah aur Sham aur Pareshani ke waqt padhne ki dua

Image
Bismillahirrahmanirrahim ✦ Subah aur Sham aur Pareshani ke waqt padhne ki dua ------------------ Anas bin Malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne Fatima Radi Allahu Anha se farmaya Jab tum Subah ya shaam mein dakhil ho  to to is tarah kaha karo  يَا حَيُّ يَا قَيُّومُ بِرَحْمَتِكَ أَسْتَغِيثُ. وَأَصْلِحْ لِي شَأْنِي كُلَّه، وَلَا تَكِلْنِي  إلى نَفْسِي طَرْفَةَ عَيْنٍ أَبَدًا ✦ Ya Hayyu Ya Qayyum, Bi-Rahmatika Astagith, Waslih li Sha'ni Kullahu, Wala Takilni ila Nafsi tarfata Aaynin Abda  ✦  Eh Zinda Hamesha Qayam rahne wale teri rahmat ke zariye se faryad karta hu, mere tamam halat durust kar de aur kabhi bhi palak jhapakne ke barabar bhi mujhe  mere nafs ke hawale na kar . Al Silsila As sahiha, 2942 ------------------

Aise azkar jiska jawab Allah subhanahu khud dete hain

Image
Bismillahirrahmanirrahim ✦ Hadith : Aise azkar jiska jawab Allah subhanahu khud dete hain -------------------- Hazrat Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ek Aaraabi (Bedouin) RasoolAllah ﷺ ke paas aaya aur kahne laga Ya Rasool-Allah ﷺ mujhe khair (wale kalimat) seekha djiye  Rasool-Allah ﷺ  ne uska hath pakad Kar farmaya kaho  سُبْحَان اﷲ، وَالْحَمْدُ لِلّٰہِ، وَلَا إِلٰہَ إِلاَّ اللّٰہُ، وَاللّٰہُ أَکْبَرُ  SubhanAllah Walhamdulilah Wa Lailaha illAllahu Wallahu Akbar us aarabi ne in kalimat ko  apni ungliyoh par geena aur sochta hua chala gaya phir wapas palta to Rasool-Allah ﷺ muskurane lage aur us se farmaya  tum kyu ek naummeed Shaks ki tarha fikr Kar rahe ho, Wo Aap Sallallahu Alahai Wasallam ke Qareeb Aaya aur kahne laga Ya Rasool-Allah ﷺ SubhanAllah Walhamdulilah Wa Lailaha illAllahu Wallahu Akbar, Ye to Allah Subhanahu ke liye hai (yani uski tairf ke liye hain) mere liye kya hai  Rasool-Allah ﷺ  ne  farmaye E...

Masajido ko Aabad Karne wale Allah Subhanahu Ke Padosi hai

Image
Bismillahirahmanirrahim Hadith : Masajido ko Aabad Karne wale Allah Subhanahu Ke Padosi hai ------------- ✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya Allah Subhanahu Qayamat ke din aawaz dega mere Padosi Kaha hai, mere Padosi Kaha hai farishtein kahenge Ya RABB kaun is layaq hai ke wo Aap Ka Padosi bane , Allah Subhanahu farmayega Masajido ko Aabad Karne wale Kaha hai (yani wo Allah ke padosi hain)  Al-Silsila-As-Sahiha # 561 -----

Share karne se pahle ek baar jarur pura padhkar sawab hasil kar liiyega

Image
Bismillahirrahmanirrahim ------------- ✦ Share karne se pahle ek baar jarur pura padhkar sawab hasil kar liiyega ------------- ✦ La ilaha illAllah ------------- ✦ Alhamdulillahi Rabbil Aalamin ------------- ✦ SubhanAllahi wa biHamdihi -------------  ✦ La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, lahul-mulk wa lahul-hamd Yuhi wa Yumeet, wa huwa Ala kulli shayin qadir ------------- ✦ La Hawla wa La Quwwata illa billah ------------- ✦ Allahumma Salli Ala Muhammed Wa Aali Muhammed  ------------- ✦ Hadith 1 : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo bhi (ek baar) لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ  La ilaha illAllah kahega uske liye 20 nekiya likhi jayengi aur 20 gunah mita diye jayenge Masnad Ahmed, 7813-Sahih ------------- ✦ Hadith 2 : Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jo koi dil se  الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ Alhamdulillahi Rabbil Aalamin  kahega (yani zuban ke saath dil se...

Allah Subhanahu sabse zyada raham karne wala aur maaf karne wala hai

Image
  Bismillahirrahmanirrahim ✦ Allah Subhanahu sabse zyada raham karne wala aur maaf karne wala hai -------------- Abu Dhar Radi Allahu Anhu se rivayat hai Rasool-Allah ﷺ ne farmaye Qayamat ke din ek Admee Ko laya jaega aur Kaha jaega uske chote chote gunah Uske samne pesh karo wo gunah uske samne laye jaenge jabki bade gunah ussay chupa liye jaenge Kaha jaega tune falah falah din ye kaam kiya tha wo Iqrar karega ,inkar Nahi karega aur bade gunah se darr raha hoga, kaha jayega ussay har burayee ke badle ek neki de do, wo ye sunkar kahega mere aise bhi gunah hai jinhein main yaha nahi dekh raha. Abu Dhar Radi Allahu Anhu ne Kaha Meine Rasool-Allah ﷺ ko dekha Aap ﷺ ye hadith bayan karke itna muskuraye ke Aap ﷺ ke dandan mubarak (teeth) nazar aane lage Al Silsila As-Sahiha , 3679 -------------- --------------

Logo Mai Sabse zyada Mehboob Allah Subhanahu Ke yaha wo shaks hai Jo logo ko sabse zyada nafa dene wala hai

Image
Bismillahirrahmanirrahim Hadith: Logo Mai Sabse zyada Mehboob Allah Subhanahu Ke yaha wo shaks hai Jo logo ko sabse zyada nafa dene wala hai ----------- ✦ Ek admee Rasool-Allah ﷺ ke paas aaya aur kaha ya RasoolAllah ﷺ kounsa shakhs Allah subhanahu ko zyada mehboob hai aur kounsa amal Allah subhanahu ko zyada pasandida hai ? Rasool-Allah ﷺ ne farmaye logo mein sabse zyada mehboob Allah subhanahu ke yaha wo shaks hai jo logo ko sabse zyada nafa dene wala hai aur Allah subhanahu ko sabse zyada pasandida amal wo khushi hai jo musalman kisi dusre muslaman ko de ya us ki musibat dur kar de ya uska qarz ada kar de ya uski bhookh khatam kar de. Al-Slisila-As-Sahiha #209-Part 1 -----------

Aayat Al Kursi ki fazilat

Image
 قَالَ َرَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ قَالَ :  سُورَةُ الْبَقَرَةِ فِيهَا آيَةٌ سَيِّدَةُ آيِ الْقُرْآنِ ، لا تُقْرَأُ فِي بَيْتٍ وَفِيهِ شَيْطَانٌ ، إِلا خَرَجَ مِنْهُ آيَةُ الْكُرْسِيِّ  المستدرك على الصحيحين ٢٦٥٢-صحیح  قَالَ لِي إِذَا أَوَيْتَ إِلَى فِرَاشِكَ فَاقْرَأْ آيَةَ الْكُرْسِيِّ مِنْ أَوَّلِهَا حَتَّى تَخْتِمَ ‏{‏اللَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَىُّ الْقَيُّومُ‏}‏ وَقَالَ لِي لَنْ يَزَالَ عَلَيْكَ مِنَ اللَّهِ حَافِظٌ وَلاَ يَقْرَبَكَ شَيْطَانٌ حَتَّى تُصْبِحَ، صحیح بخاری ٢٣١١   قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : مَنْ قَرَأَ آيَةَ الْكُرْسِيِّ فِي دُبُرِ كُلِّ صَلَاةٍ مَكْتُوبَةٍ لَمْ يَمْنَعْهُ مِنْ دُخُولِ الْجَنَّةِ إِلَّا أَنْ يَمُوتَ  السلسلہ صحیحہ حدیث ٧٤٩-صحیح  الطَّبَرَانِيُّ فِي الْكَبِيرِ  ٦٥٣٢ حسن  صحيح الجامع  ٦٤٦٤ صحیح Bismillahirrahmanirrahim ✦ Aayat Al Kursi ki fazilat -------------------- ✦ Hadith 1:  Rasoo...

Gam aur pareshani dur karne ki dua

Image
قَالَ رَسُولُ اللهِ ﷺ: مَا أَصَابَ أَحَدًا قَطُّ هَمٌّ وَلَا حزنٌ فَقَالَ: اَللّٰهُمَّ! إِنِّي عَبْدُكَ وَابْنُ عَبْدِكَ وَابْنُ أَمَتِكَ نَاصِيَتِي بِيَدِكَ مَاضٍ فِيَّ حُكْمُكَ عَدْلٌ فِيَّ قَضَاؤُكَ أَسْأَلُكَ بِكُلِّ اسْمٍ هُوَ لَكَ سَمَّيْتَ بِهِ نَفْسَكَ أَوْ عَلَّمْتَهُ أَحَدًا مِنْ خَلْقِكَ أَوْ أَنْزَلْتَهُ فِي كِتَابِكَ أَوِ اسْتَأْثَرْتَ بِهِ فِي عِلْمِ الْغَيْبِ عِنْدَكَ أَنْ تَجْعَلَ الْقُرْآنَ رَبِيعَ قَلْبِي وَنُورَ صَدْرِي وَجِلَاءَ حُزْنِي وَذَهَابَ هَمِّي إِلَّا أَذْهَبَ اللهُ هَمَّهُ وَحُزْنَهُ وَأَبْدَلَهُ مَكَانَهُ فَرَجًا قَالَ: فَقِيلَ: يَا رَسُولَ اللهِ! أَلَا نَتَعَلَّمُهَا؟ فَقَالَ: بَلَى يَنْبَغِي لِمَنْ سَمِعَهَا أَنْ يَتَعَلَّمَهَ السلسلہ صحیحہ حدیث ٢٩٢٨ صحیح الأسماء والصفات للبيهقي حدیث ٧- حسن Bismillahirrahmanirrahim ✦ Gam aur pareshani dur karne ki dua ----------------- Abdullah ibn Masood Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jis shakhs ko kabhi koi gam ya...

Masjid e Nabwi mein ek mahine ke Eitkaf se zyada mehboob musalman ki madad karna hai

Image
Bismillahirrahmanirrahim ✦ Mafhum e hadith: Masjid e Nabwi mein ek mahine ke Eitkaf se zyada mehboob musalman ki madad karna hai ------------------- ✦ Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya  agar main kisi musalman bhai ke Sath uski zarurat puri karne ke liye chalu to ye mujhe  iss Masjid ( Masjid e Nabwi) mein ek mahina Eitkaf mein baithne se zyada Mehboob hai  Al-Slisila-As-Sahiha #209-Part 2 ✦ Rasool-Allah ﷺ ne farmaya Jo shaksh apne bhai ki jarurat puri kare Allah subhanahu uski jarurat puri karega.  Jo shaksh kisi musalman ki ek museebat ko dur kare Allah taala uski Qayamat ki museebaton mein se ek badi museebat ko dur farmayega aur jo shaksh kisi musalman ke Aib ko chupaye Allah taala Qayamat mein uskey aib ko chupayega. Sahih Bukhari,Vol.3, 2442