Posts

Showing posts with the label Surah AL-Imran

Featured Post

Mushkil Waqt Mein Padhne Ki Dua

Image
Bismillahirrahmanirrahim  ✦ Mushkil Waqt Mein Padhne Ki Dua ---------------------------------------------- ✦ Al Quran : Jin Logon ne Allah aur uske Rasool ka hukm mana , iske bawajud ke unhe zakhm lage huye they , jo unmein se neik aur parhaizgar huye unke liye bada ajar hai , Jinhe (munafiq) logo ne kaha ki (Mushriko aur kafiro ne) tumahare muqable ke liye saman jama kiya hai , isliye tum unse daro to (ye sunkar) unka imaan aur zyada ho gaya aur wo kahne lage ki Hasbunallah wa naimal wakeel  (Humko Allah kafi hai aur wo behatreen kaarsaz hai) Surah Aal-e-imran , Aayat 172-173 ✦ Hadith : Abu Saeed Khudri Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne faramaya main kis tarah aaram karu jabki usne(israfil Alaihi salam ne) soor mein munh lagaya hua hai aur unke kaan Allah subhanahu ke hukm ke muntazir hain ki wo kab phunkne ka hukm de de aur wo phunk de ye baat Sahaba Radi Allahu Anhu ke dil par sakht (gamnaak) guzri...

AL Quran : Jinhone apne deen ko tukde tukde kar diya aur kayee jamatain ban gaye tumhara unse koi taalluq nahi

Image
Bismillahirrahmanirrahim ✦ Al Quran : Usee (Allah) ki taraf ruju kiye raho aur us se darte raho aur mushriko mein se na hona , (aur na ) un logo mein jinhone apne deen ko tukde tukde kar diya aur (khud) firqe firqe ho gaye , har firqa usee se khush hai jo unke pass hai Surah Ar-Room (30), 31-32 ✦ AL Quran : Jinhone apne deen ko tukde tukde kar diya aur kayee jamatain ban gaye tumhara unse koi ta’alluq nahi uska kaam ALLAH hi ke hawale hai phir wohi unhey batlayega jo kuch wo karte they Surah Al Anaam (6) , 159 ✦ Al Quran : Sab milkar ALLAH ki (hidayat ki) Rasii ko mazbuti se thaam lo, aur aapas mein firqon mein na banto aur ALLAH ki us meharbani ko yaad karo jab tum ek dusrey ke dushman they to usney tumharey dilon mein ulfat daal di aur tum uski meharbani se bhai bhai ho gaye aur tum Aag ke ghadey (brink of a pit) ke kinarey tak pahunch chuke they to ALLAH subhanahu ne tumko us sey bacha liya aur is tarah ALLAH apni aaytein khol khol kar sunata hai taki tum hidaya...

AL Quran : Eh hamare RAB

Image
أَعُوذُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيْمِ ------------ رَبَّنَا لَا تُزِغْ قُلُوبَنَا بَعْدَ إِذْ هَدَيْتَنَا وَهَبْ لَنَا مِن لَّدُنكَ رَحْمَةً ۚ إِنَّكَ أَنتَ الْوَهَّابُ AL Quran : Eh hamare RAB , jab tu humko hidayat kar chuka hai to hamare dilo ko na pher aur apne paas se humein rahmat ata farma , Beshak tu Al-Wahhab (sabse zyada ata farmane wala) hai. Surah Aal-e-Imran (3) Verse 8

Al Quran : Asr ki Kasam, Insaan nuqsaan mein hain,Magar wo log jo imaan laye aur neik kaam karte rahe ...

Image
Bismillahirrahmanirrahim ✦ Al Quran : Asr ki Kasam, Insaan nuqsaan mein hain,Magar wo log jo imaan laye aur neik kaam karte rahe  aur haq par qayam rahne aur Sabr karne ki aapas mein waseeyat ( takid) karte rahe Surah Al-Asr (103) ✦ Al Quran : Tum mein se ek jamaat aisee honi chahiye jo logo ko neki ki taraf bulaye aur achche kaam karne ka hukm de aur burey kaamo se mana kare, Ye log nijat pane wale hain Al Quran , Surah Aal-E-Imran (3) Verse 104 ✦ Hadith: Hudhaifah bint Al-Yaman Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya us ALLAH ki qasam jiske haath mein meri jaan hai Logo ko achchi baat ki hidayat karte raho aur burey kaam se rokte raho warna Qareeb hai ki ALLAH subhanahu tum logo par azab bhej de aur tum duaayein mango aur wo qubul na kare Jamia Tirmidhi, Vol 2, 42-Hasan  -----------

Part 4 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahirrahmanirrahim Part 4 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam  Al Quran : Eh Imaan walon apni aawazien Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam ki Aawaz se unchi na karo aur jis tarah aapas mein ek dusrey se zor se boltey ho unkey roobaru zor se na bola karo ki tumhare aamal zaya ho jaynegey aur tumko khabar bhi na hogi. AL Quran , Al-Hujraat, (49), 2 . Al Quran : Rasool-Allah (Sal-Allahu Alaihi Wasallam) ko bulane ko aisa khayal na karna jaisa ki tum Aapas mein ek dusre ko bulate ho. Beshak ALLAH ko ye malum hai jo tum mein se aankh bacha kar chal dete hain to jo log unke hukm ki mukhalifat karte hain unko darna chahiye ki un par koi Aafat padh jaye ya takleef dene wala azab nazil ho Al Quran , Surah An Noor (24) , 63  . Al Quran : Nabee (sallallahu alaihi wasallam ) momeeno par unki jaano se bhi Ziyada haq rakhtey hain aur Nabee ki Biwiyan unki (momeeno ki ) Maa hain  Al Quran , Al-Ahzab, (33), 6 . AL Quran : Aur humne Aapko ( Aap sal...

Part 5 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahirrahmanirrahim Part 5 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam * Al Quran : Allah subhanahu ne momeeno par bada ehsan kiya hai ki unmein unhi mein se ek Rasool ( Sal-Allahu Alaihi Wasallam ) bheje jo un par us (RAB) ki aaytein padhte hain aur unhe kitab aur danayee sikhate hain aur (unke aane se ) pahle ye log khuli gumrahi mein they Surah Aal-e-imran (3), 164 Al Quran : Tumhare pass tum hi mein se ek Rasool (Muhammad Sal-Allahu alaihi wasallam) aaye hain tumhari takleef unko giraah (yani apni) malum hoti hai , aur tumhari bhalaii ke khwahish mand hai aur momeeno par nihayat shafqat karne wale (aur) Meharbaan hain. Surah At-Taubah (9) , 128 Al Quran : Haqeeqat mein tumhare liye Rasool-Allah (Sal-Allahu Alaihi Wasallam ka qaul aur amal )ek behtareen namuna (example) hain , unke liye jo Allah aur aakhirat ke din par imaan rakhte hain aur Allah ko bahut yaad karte hain Surah AL-Ahzab (33), 21 Al Quran : Wo log jo us Rasool (Sal-Allahu Alaih...

Eh Imaan walo musalmano ko chorh kar kaafiron ko apna Dost

Image
Bismillahirrahmanirrahim . Al Quran : Eh Imaan walo musalmano ko chorh kar kaafiron ko apna Dost na banao, kya tum ye chahte ho ki apne upar ALLAH ka sareeh ilzaam lo. Surah An-Nisa (4) , #144 Al Quran : Eh Imaan walo Mere dushmano aur apne dushmano ko dost na banao , tum to unke pass dosti ke paigham bhejte ho , halanki tumhare pass jo sachcha deen aaya uskey ye munkir hain . Surah Al-Mumtahana (60), Verse 1 Al Quran : Musalman Musalmano ko chorh kar kafiro ko dost na banaye aur jo koi ye kaam kare uska ALLAH se koi talluq nahi magar is surat mein ki tum unse bachao karna chaho aur ALLAH tumhe apne se darata hai aur Allah hi ki taraf laut kar jana hai Surah Aal-e-imran (3) , 28

Eh Imaan walo musalmano ko chorh kar kaafiron ko apna Dost na banao,

Image
Bismillahirrahmanirrahim . Al Quran : Eh Imaan walo musalmano ko chorh kar kaafiron ko apna Dost na banao, kya tum ye chahte ho ki apne upar ALLAH ka sareeh ilzaam lo. Surah An-Nisa (4) , #144 . Al Quran : Eh Imaan walo Mere dushmano aur apne dushmano ko dost na banao , tum to unke pass dosti ke paigham bhejte ho , halanki tumhare pass jo sachcha deen aaya uskey ye munkir hain . Surah Al-Mumtahana (60), Verse 1 . Al Quran : Musalman Musalmano ko chorh kar kafiro ko dost na banaye aur jo koi ye kaam kare uska ALLAH se koi talluq nahi magar is surat mein ki tum unse bachao karna chaho aur ALLAH tumhe apne se darata hai aur Allah hi ki taraf laut kar jana hai Surah Aal-e-imran (3) , 28 -------------------------- ------------------------ AL Quran : O you who believe! Take not for Auliya (protectors or friends) disbelievers instead of believers. Do you wish to offer ALLAH a manifest proof against yourselves? Surah An-Nisa, (4) , Verse #144 O you who believe! Take not My ...