Bismillahirrahmanirrahim Part 4 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam Al Quran : Eh Imaan walon apni aawazien Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam ki Aawaz se unchi na karo aur jis tarah aapas mein ek dusrey se zor se boltey ho unkey roobaru zor se na bola karo ki tumhare aamal zaya ho jaynegey aur tumko khabar bhi na hogi. AL Quran , Al-Hujraat, (49), 2 . Al Quran : Rasool-Allah (Sal-Allahu Alaihi Wasallam) ko bulane ko aisa khayal na karna jaisa ki tum Aapas mein ek dusre ko bulate ho. Beshak ALLAH ko ye malum hai jo tum mein se aankh bacha kar chal dete hain to jo log unke hukm ki mukhalifat karte hain unko darna chahiye ki un par koi Aafat padh jaye ya takleef dene wala azab nazil ho Al Quran , Surah An Noor (24) , 63 . Al Quran : Nabee (sallallahu alaihi wasallam ) momeeno par unki jaano se bhi Ziyada haq rakhtey hain aur Nabee ki Biwiyan unki (momeeno ki ) Maa hain Al Quran , Al-Ahzab, (33), 6 . AL Quran : Aur humne Aapko ( Aap sal...