Posts

Showing posts with the label Surah An-Nisa

Featured Post

Hadith :Waseeyat mein na-insafi karne wale ka khatama bura hota hai

Image
Bismillahirrahmanirrahim ✦ Hadith :Waseeyat mein na-insafi karne wale ka khatama bura hota hai ---------------- ✦ Al Quran : Allah Subhanahu tumhari aulad ke baare mein tumko irshad farmata hai ki (jaydad mein) ek ladke ka hissa do ladkiyo ke barabar hai (yani ek bete ko jitna hissa diya jayega uska aadha hissa beti ko bhi dena jaruri hai) Surah Nisa(4) Aayat 11 ✦ Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaye Admee 70 Saal tak (yani zindagi bhar) Neik Aaamal karta rahta hai phir waseeyat Ke waqt apni waseeyat mein nainsafi kar deta hai jiski wajah se uska khatma burey Aamal per ho jata hai aur wo jahannum mein chala jata hai isee tarh aadmee 70 saal tak burey aamal karta rehta hai lekin apni waseeyat main insaf kar deta hai to uska khatma bil-khair hota hai aur wo Jannat Mai jata hai  Sunan Ibn Majah,Jild 2, 861-Hasan ----------------

Al Quran : Kah do Allah ke siwa jinka tumhe ghamand hai unhe pukaro, wo na to aasman hi mein zarra bhar ikhtiyar rakhtey hain

Image
Bismillahirrahmanirrahim ★ Al Quran : Kah do Allah ke siwa jinka tumhe ghamand hai unhe pukaro, wo na to aasman hi mein zarra bhar ikhtiyar rakhtey hain aur na zameen mein aur na unka unmein kuch hissa hai aur na unme se koi Allah ka madadgar hai Surah Saba (34) Verse 22 ★ Hadith: Anas bin malik radi allahu taala anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Allah taala Qayamat ke din Dozakh ke sabse kam Azab pane wale se puchega agar tumhe zameen ki sari cheezein mayassar ho to kya tum usko fidye mein(azab se nijat pane ko) de do ge wo kahega ki haan, ALLAH subhanahu farmayega ki maine tumse is se bhi aasan cheez ka us waqt mutalba kiya tha jab tum Aadam ki peeth mein they ki mere saath kisi ko Sharik na karna lekin tumne inkar kiya aur na mana aur shirk hi kiya Sahih bukhari, Vol8, 6557  ★ Al Quran: Beshak Allah usko nahi bakhshta jo uska sharik kare aur shirk ke siwa dusre gunah jise chahe bakhsh deta hai aur Jisne ALLAH ka shar...

Tum par mera tareeqa aur mere hidayat yafta khulfa ka tareeqa lazim hai

Image
Bismillahirrahmanirrahim ✦ Hadith: Tum par mera tareeqa aur mere hidayat yafta khulfa ka tareeqa lazim hai -------------- ✦ Al Quran : Eh Imaan walo ALLAH aur uske Rasool (Sal-Allahu Alaihi Wasallam) ki farmabardari karo aur un logon ki bhi jo tum mein se hakim hain , aur agar kisi baat mein tum mein ikhtilaf ho jaye to usko ALLAH aur uske Rasool (Sal-Allahu Alaihi Wasallam ) ki taraf rujoo karo , ye bahut achchi baat hai aur anjam ke lihaz se bahut behtar hai Surah An-Nisa (4) Verse 59 ✦ Al-Irbad bin Sariyah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne aisee taqreer farmayee jis se aankhon se Aansoo bah nikley aur dil kaanp uthey, humne arz kiya Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ye to rukhsat karne wale ki naseehat hai Aap humse kisi cheez ka ahad le le, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya main tumko aisee hamwar zameen par chorh ja raha hu jiske din aur raat barabar hain is se wo hatega jo Halaq hone wala hoga j...

jo jaanbujh kar farz namaz chorh de to Allah ke zimme se bari ho gaya

Image
Bismillahirrahmanirrahim ✦ Hadith: jo jaanbujh kar farz namaz chorh de to Allah ke zimme se bari ho gaya ------------------ ✦ Abu darda Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki mere mehboob Sallallahu Alaihi wasallam ne mujhe waseeyat farmayee ki Allah ke saath kisi ko sharik na karna chahe tumhare tukde tukde kar diye jaye ya tumhe aag mein jala diya jaye Aur farz namaz ko jaan bujh kar kabhi mat chorhna kyunki jo jaanbujh kar farz namaz chorh de to Allah ke zimme se bari ho gaya   (yani ab wo Allah ki panah mein nahi) aur sharab na peena kyunki sharab har burayee ki kunji (key) hai  Sunan Ibn Maja, Jild 3, 915-Hasan ✦ Beshak Namaz apne muqarrar waqto mein momeeno par farz hai Al Quran : Surah An-Nisa (4) , #103 ✦ Hadith: Abdullah bin buraidah Radi-Allahu-Anhu ne apney walid se rivayat kiya ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Hamare aur unke (munafiqon ke) darmiyan Ahad Namaz hai to jisne Namaz ko chorh de usney kufr kiya.   S...

Eh Imaan walo musalmano ko chorh kar kaafiron ko apna Dost

Image
Bismillahirrahmanirrahim . Al Quran : Eh Imaan walo musalmano ko chorh kar kaafiron ko apna Dost na banao, kya tum ye chahte ho ki apne upar ALLAH ka sareeh ilzaam lo. Surah An-Nisa (4) , #144 Al Quran : Eh Imaan walo Mere dushmano aur apne dushmano ko dost na banao , tum to unke pass dosti ke paigham bhejte ho , halanki tumhare pass jo sachcha deen aaya uskey ye munkir hain . Surah Al-Mumtahana (60), Verse 1 Al Quran : Musalman Musalmano ko chorh kar kafiro ko dost na banaye aur jo koi ye kaam kare uska ALLAH se koi talluq nahi magar is surat mein ki tum unse bachao karna chaho aur ALLAH tumhe apne se darata hai aur Allah hi ki taraf laut kar jana hai Surah Aal-e-imran (3) , 28

Eh Imaan walo musalmano ko chorh kar kaafiron ko apna Dost na banao,

Image
Bismillahirrahmanirrahim . Al Quran : Eh Imaan walo musalmano ko chorh kar kaafiron ko apna Dost na banao, kya tum ye chahte ho ki apne upar ALLAH ka sareeh ilzaam lo. Surah An-Nisa (4) , #144 . Al Quran : Eh Imaan walo Mere dushmano aur apne dushmano ko dost na banao , tum to unke pass dosti ke paigham bhejte ho , halanki tumhare pass jo sachcha deen aaya uskey ye munkir hain . Surah Al-Mumtahana (60), Verse 1 . Al Quran : Musalman Musalmano ko chorh kar kafiro ko dost na banaye aur jo koi ye kaam kare uska ALLAH se koi talluq nahi magar is surat mein ki tum unse bachao karna chaho aur ALLAH tumhe apne se darata hai aur Allah hi ki taraf laut kar jana hai Surah Aal-e-imran (3) , 28 -------------------------- ------------------------ AL Quran : O you who believe! Take not for Auliya (protectors or friends) disbelievers instead of believers. Do you wish to offer ALLAH a manifest proof against yourselves? Surah An-Nisa, (4) , Verse #144 O you who believe! Take not My ...