Posts

Showing posts with the label Surah Al-Baqarah

Featured Post

Agar tum aurto ko unke pass jane se pahle talaq de do aur mahar muqarrar kar cuke ho to aadha mahar dena hoga

Image
Bismillahirrhamanirrahim ✦ Al Quran : Agar tum aurto ko unke pass jane se pahle talaq de do aur mahar muqarrar kar cuke ho to aadha mahar dena hoga , haa agar aurtein mahar bakhs de ya mard jinke haath mein nikah ka aqad hai (apna haq) chorh de (aur pura mahar de to unko ikhtiyar hai)Aur mard log apna haq chorh de to ye unke liye parhezgari ki baat hai aur aapas   mein bhalayee karne ko faramosh n a karna beshak Allah tumhare sab kaamo ko dekh raha hai Surah Baqara (2), 237 ----------

Neik Kaam ki Qubuliyat ke liye dua

Image
Bismilahirrahmanirrahim ✦ Neik Kaam ki Qubuliyat ke liye dua -------- رَبَّنَا تَقَبَّلْ مِنَّا ۖ إِنَّكَ أَنتَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ -------- Rabbana Taqabbal Minna Innaka Antas-Sameeul Alim -------- وَإِذْ يَرْفَعُ إِبْرَاهِيمُ الْقَوَاعِدَ مِنَ الْبَيْتِ وَإِسْمَاعِيلُ رَبَّنَا تَقَبَّلْ مِنَّا ۖ إِنَّكَ أَنتَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ -------- اور جب ابراہیم اور اسمٰعیل بیت الله کی بنیادیں اونچی کر رہے تھے (تو دعا کئے جاتے تھے کہ) اے رب  ہم سے یہ خدمت قبول فرما۔ بےشک تو سننے والا (اور) جاننے والا ہے -------- ✦ Aur Jab Ibrahim aur ismaeel Alaihi salam Baitullah ki bunyadien unchi kar rahe they ( to ye dua padhte ja rahe they) Eh RABB humse ye khidmat Qubul farma beshak tu sunne wala aur janne wala hai Al Quran Surah Baqara(2), 127 --------

jo bhi haraf tum Surah Al Baqarah ki aakhri aayato se padhoge to uski maangi huyee cheez tumhe jarur milegi

Image
Bismillahirrahmanirrahim Hadith : jo bhi haraf tum Surah Al Baqarah ki aakhri aayato se padhoge to uski maangi huyee cheez tumhe jarur milegi --------------------- رَبَّنَا لَا تُؤَاخِذْنَا إِن نَّسِينَا أَوْ أَخْطَأْنَا ۚ رَبَّنَا وَلَا تَحْمِلْ عَلَيْنَا إِصْرًا كَمَا حَمَلْتَهُ عَلَى الَّذِينَ مِن قَبْلِنَا ۚ رَبَّنَا وَلَا تُحَمِّلْنَا مَا لَا طَاقَةَ لَنَا بِهِ ۖ وَاعْفُ عَنَّا وَاغْفِرْ لَنَا وَارْحَمْنَا ۚ أَنتَ مَوْلَانَا فَانصُرْنَا عَلَى الْقَوْمِ الْكَافِرِينَ ✦ Al Quran: Eh hamare RABB agar hum bhul jaye ya galti kare to hamari giraft na farma , ✦ Eh hamare RABB hum par aisa bhari bojh na daal jaisa tune humse pahle ke logo par daala , ✦ Eh hamare RABB hum par wo bojh na daal jisko uthane ki hum mein taqat nahi, ✦ aur humein maaf kar aur humein bakhsh de aur hum par raham kar. ✦ Tu hi hamara kaarsaz hai , kaafiro ke muqable mein tu hamari madad farma Surah Al-Baqara (2) Verse 286 ✦ Hadith: Ek din jibril alai...

Mera RABB wo hai jo Suraj ko mashrik (east) se nikalta hai

Image
Bismilahirrahmanirrahim  ✦ Al Quran: Mera RABB wo hai jo Suraj ko mashrik (east) se nikalta hai  --------------------- Al Quran : Kya tumne us shaksh ko nahi dekha jisne Ibrahim (Alaihi salam) se uske RAB ke liye jhagda kiya kyunki ALLAH ne usko sultanut di thi, Jab Ibrahim(Alaihi salam) ne kaha ki Mera RAB wo hai jo zinda karta hai aur maarta hai usne kaha ki main bhi zinda karta hu aur maarta hun , Ibrahim (Alaihi salam) ne kaha ki Beshak ALLAH Suraj ko mashriq (purab) se lata hai tu usey maghrib (paschim) se le aa , tab wo kaafir hairan rah gaya aur ALLAH be insaafon ko seedhi Raah nahi dikhata. Surah Al-Baqara, (2), Verse 258 ------------------

Al Quran : Eh Aqal walo Qasas mein ( tumhare liye) zindagani hai taaki tum ( Qatl aur khooonrezi) se bacho

Image
Bismillahirrahmanirrahim Al Quran : Eh Aqal walo Qasas mein ( tumhare liye) zindagani hai taaki tum ( Qatl aur khooonrezi) se bacho ------------------------------- Al Quran : Momeen tumko maqtulo ( jo qatl kar diye gaye hain) ke baare mein Qasas ka hukm diya jata hai , Aazad ke badle aazad aur gulam ke badle gulam aur aurat ke badle aurat.(Qatl ki jaye) Aur qatil ko uske bhai ki taraf se kuch maaf kar diya jaye to  dastur ke muwafiq mutalaba karna chahiye aur usey neki ke saath ada karna chahiye ye tumhare RAB ki taraf se aasani aur meharbani hai phir jo uske baad zyadati kare to uske liye dardnak azab hai Aur eh Aqal walo Qasas mein ( tumhare liye) zindagani hai taaki tum ( qatl aur khooonrezi) se bacho AL Quran ,Surah Al-Baqara (2), Verse #178-179 -------------------------------

Jisne bagair saboot ke koi fatwa diya jaye uska Gunah us par.......

Image
Bismillahirrahmanirrahim Hadith: Jisne bagair saboot ke koi fatwa diya jaye uska Gunah us par....... Al Quran : Afsos hain un logo par jo apne haatho se kitab likhte hain aur phir kahte hain ki ye ALLAH ki taraf se hai taaki is se kuch maal (rupye) kamaye phir afsos hai unke haatho ke likhne par aur afsos hai unki kamayee par  {AL Quran , Surah Al-Baqarah(2), 79} Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Jo bagair saboot ke koi fatwa diya jaye uska Gunah us par hoga jisney wo fatwa diya . {Sunan Ibn Majah, Vol 1, 53 Hasan}             ----------------------------------------------------------------