Posts

Showing posts with the label Sahih Muslim

Featured Post

Subah ke waqt padhne ka azkar

Image
Bmillahirrhamnirrahim ✦ Subah ke waqt padhne ka azkar -------------- Hazrat Abdullah bin Masud Radi Allahu Anhu se rivayat hai Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam Jab Subha Karte to Ye dua  farmate أَصْبَحْنَا وَأَصْبَحَ الْمُلْكُ لِلَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَحْدَهُ لَا شَرِيكَ لَهُ، لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ رَبِّ أَسْأَلُكَ خَيْرَ مَا فِيْ هَذَا الْيَوْمِ  وَخَيْرَ مَا بَعْدَهُ وَأَعُوْذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا فِي هَذَا الْيَوْمِ  وَشَرِّ مَا بَعْدَهُ رَبِّ أَعُوْذُ بِكَ مِنَ الْكَسَلِ، وَسُوءِ الْكِبَرِ رَبِّ أَعُوْذُ بِكَ مِنْ عَذَابٍ فِيْ النَّارِ وَعَذَابٍ فِيْ الْقَبْرِ -------------- ✦ Asbahna wa Asbahal-mulku Lillah, Wal-hamdullilah,  wa la ilaha illallah, wahdahu la sharika lahu Lahul-mulku wa lahul-hamdu, wa huwa `ala kulli shai'in qadir.  Rabbi Asa'luka khaira ma fi hadhihil-yaum, wa khaira ma ba`daha,  wa Audhubika min sharri ha...

badan ke dard ko dur karne ki dua

Image
Bismillahirrahmanirrahim  ✦ Mafhum-e-hadith : badan ke dard ko dur karne ki dua  -------------- ✦ Uthman bin Abu Al-As Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki unhone Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam se us dard ka bayan kiya jo unke badan mein paida ho gaya tha jab wo musalmna huye they Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum apna haath dard wali jagah par rakho aur  3 baar Bismillah kaho  aur uske baad 7 baar ye dua padho أَعُوذُ بِاللَّهِ وَقُدْرَتِهِ مِنْ شَرِّ مَا أَجِدُ وَأُحَاذِرُ A'udhu billahi wa qudratihi min sharri ma ajidu wa uhaziru ( panah mein aata hu main Allah subhanahu ki aur uski kudrat ki us cheez ki burayee se jisko main apne andar mehsus karta hu aur jis se darta hu) Sahih Muslim, Vol 5, 5737 --------------

Ek baar Surah Al-ikhlas padho aur ek tihaii Quran padhne ka sawab kama lo kyunki.....

Image
Bismillahirrahmanirrahim -------------- ✦  Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya kya tum mein se koi is baat se thak jata hai ki har raat Ek Teehaii Quran parh le ? Sahaba Radi Allahu Anhu ma ne arz kiya ki Teehaii Quran ( Ek raat mein ) kaisey parh saktey hain ? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Qul Huwallahu Ahad ( Surah ikhlas) Ek teehaii Quran ke barabar hai  Sahih Muslim, 1886 ✦ Rasool-Allah Sall-Allahu alaihi wasallam hamarey pass aaye aur farmaya main tumhare samne Ek Tihaii Quran parhta hu , phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Qul Huwallahu Ahad (Surah Al-ikhlas) parhi yahan tak ki is surah ko khatam kiya  Sahih Muslim, 1889

Share karne se pahle ek baar jarur pura padhkar sawab hasil kar liiyega

Image
Bismillahirrahmanirrahim ------------- ✦ Share karne se pahle ek baar jarur pura padhkar sawab hasil kar liiyega ------------- ✦ La ilaha illAllah ------------- ✦ Alhamdulillahi Rabbil Aalamin ------------- ✦ SubhanAllahi wa biHamdihi -------------  ✦ La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, lahul-mulk wa lahul-hamd Yuhi wa Yumeet, wa huwa Ala kulli shayin qadir ------------- ✦ La Hawla wa La Quwwata illa billah ------------- ✦ Allahumma Salli Ala Muhammed Wa Aali Muhammed  ------------- ✦ Hadith 1 : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo bhi (ek baar) لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ  La ilaha illAllah kahega uske liye 20 nekiya likhi jayengi aur 20 gunah mita diye jayenge Masnad Ahmed, 7813-Sahih ------------- ✦ Hadith 2 : Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jo koi dil se  الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ Alhamdulillahi Rabbil Aalamin  kahega (yani zuban ke saath dil se...

Namaz ke baad padhne ki dua

Image
Bismillahirrahmanirrahim  ----------- ✦ Namaz ke baad padhne ki dua  ----------- ✦ Soban Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah ﷺ jab apni namaz se farig hote to 3 baar astagfar padhte (Astagfirullah, Astagfirullah,Astagfirullah )aur uske baad ye dua padhte  اللَّهُمَّ أَنْتَ السَّلاَمُ وَمِنْكَ السَّلاَمُ تَبَارَكْتَ يَا ذَا الْجَلاَلِ وَالإِكْرَامِ‏ ✦ Allahumma Antas-Salam wa minkas-salam. Tabarakta Ya Dhal-jalali wal-ikram. Ya Allah tu hi As-Salam hai aur salamati teri hi taraf se hai, tu barkat wala hai, Eh jalal wale aur ezzat bakhshne wale. Sahih Muslim, Jild 2, 1334 -----------

jo bhi haraf tum Surah Al Baqarah ki aakhri aayato se padhoge to uski maangi huyee cheez tumhe jarur milegi

Image
Bismillahirrahmanirrahim Hadith : jo bhi haraf tum Surah Al Baqarah ki aakhri aayato se padhoge to uski maangi huyee cheez tumhe jarur milegi --------------------- رَبَّنَا لَا تُؤَاخِذْنَا إِن نَّسِينَا أَوْ أَخْطَأْنَا ۚ رَبَّنَا وَلَا تَحْمِلْ عَلَيْنَا إِصْرًا كَمَا حَمَلْتَهُ عَلَى الَّذِينَ مِن قَبْلِنَا ۚ رَبَّنَا وَلَا تُحَمِّلْنَا مَا لَا طَاقَةَ لَنَا بِهِ ۖ وَاعْفُ عَنَّا وَاغْفِرْ لَنَا وَارْحَمْنَا ۚ أَنتَ مَوْلَانَا فَانصُرْنَا عَلَى الْقَوْمِ الْكَافِرِينَ ✦ Al Quran: Eh hamare RABB agar hum bhul jaye ya galti kare to hamari giraft na farma , ✦ Eh hamare RABB hum par aisa bhari bojh na daal jaisa tune humse pahle ke logo par daala , ✦ Eh hamare RABB hum par wo bojh na daal jisko uthane ki hum mein taqat nahi, ✦ aur humein maaf kar aur humein bakhsh de aur hum par raham kar. ✦ Tu hi hamara kaarsaz hai , kaafiro ke muqable mein tu hamari madad farma Surah Al-Baqara (2) Verse 286 ✦ Hadith: Ek din jibril alai...

Uske gunaah bakhsh diye jaate hain chahe samundar ke jhaag ke barabar kyu na ho

Image
  Bismillahirrahmanirrahim قَالَ   رَسُولِ   اللَّهِ   صلى   الله   عليه   وسلم  ‏ مَنْ   سَبَّحَ   اللَّهَ   فِي   دُبُرِ   كُلِّ   صَلاَةٍ   ثَلاَثًا   وَثَلاَثِينَ   وَحَمِدَ   اللَّهَ   ثَلاَثًا   وَثَلاَثِينَ   وَكَبَّرَ   اللَّهَ   ثَلاَثًا   وَثَلاَثِينَ   فَتِلْكَ   تِسْعَةٌ   وَتِسْعُونَ وَقَالَ   تَمَامَ   الْمِائَةِ   لاَ   إِلَهَ   إِلاَّ   اللَّهُ   وَحْدَهُ   لاَ   شَرِيكَ   لَهُ   لَهُ   الْمُلْكُ   وَلَهُ   الْحَمْدُ   وَهُوَ   عَلَى   كُلِّ   شَىْءٍ   قَدِيرٌ غُفِرَتْ   خَطَايَاهُ   وَإِنْ   كَانَتْ   مِثْلَ   زَبَدِ   الْبَحْرِ  ‏‏ صحیح   مسلم ٥٩٧ Hadith : Uske gunaah bakhsh diye jaate hain chahe samundar ke jhaag ke barabar kyu na ho -------------------- Rasool-Allah S...

Mafhum e Hadith: Wuzu ki Fazeelat

Image
Bismillahirahmanirrahim ✦  *Mafhum e Hadith: Wuzu ki Fazeelat* -------- ✦ Abu Huraira Radi Allahu Anhu se riwayat hai Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya mera Hauz Aaila se Adan tak ke fasle se zyada bada hai aur is ka paani barf se zyada safed aur shahad se mile doodh se zyada meetha hai aur is ke bartan sitaron ki tadad se zyada hai (ye sirf meri Ummat ke liye hai islye main (Ummat ke alawa dusre) logo ko us se rokunga Jaise Admee Apne Hauz se logo ke Oonth ko rokhta hai Sahaba Radi Allahu Anhuma ne pocha Ya Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam kya us din Aap hame pahchan lenge Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya haan tumhari ek nishani hogi jo dusri kisi ummat ki nahi hogi wo ye ki tum wuzu ke asar se chamakte huye chehre aur haath Paanw ke sath mere paas aaoge Sahih Muslim Jild 1 , 581 -------

Tauba Astagfar ki Fazilat

Bismillahirrahmanirrahim ✦ Tauba Astagfar ki Fazilat ------ ✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisne ye kalimat kahe to uske gunah maaf kar diye jayenge chahe wo Maidan e jung se bhag gaya ho أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ الَّذِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَىُّ الْقَيُّومُ وَأَتُوبُ إِلَيْهِ  Astagfirullah-Al-lazi la ilaha illa Huwa Al-Hayyul-Qayyum wa atubu ilaih  ✦ Tarjuma : Main ALLAH se apne gunaho ki maafi maangta hu jiske siwa koi ibadat ke layaq nahi , Jo zinda aur hamesha rahne wala hai aur main usee ki taraf tauba karta hu  Sunan Abu Dawud,Jild 1,1504-Sahih ---------- ---------- ✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo Astigfar karne ko apne upar laazim karega to Allah subhanhu usko har tangi se nikalne ka ek raasta ata farmayega aur har Gam se Nijat dega aur aisee jagah se Rozi ata farmayega jahan se usko Guman bhi nahi hoga Al Muajjam Al Kabir,Tabrani-Sahih ----------- ----------- ✦ Rasool-Allah Sal-...

Gusse ko Qabu karne ki dua

Image
Bismilahirrahmanirrahim  ✦ Gusse ko Qabu karne ki dua  -------------------- ✦ Sulaiman bin sard Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ki khidmat mein baitha hua tha aur qareeb hi do aadmi aapas mein gaali galoch kar rahe they ki ek shakhs ka munh surkh (lal) ho gaya aur gardan ki ragein phool gayeen. Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya ki mujhe ek aisa kalima malum hai ki agar ye (ya koi aur) shakhs usko parh le to is ka gussa jata rahe ga.  أَعُوذُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ ‏ Auzubillahi Min Ash-Shaitanirrajeem Tarjuma: Main panah mein aata hu Allah ki shaitan mardud se Sahih Muslim Jild 6, 6648 ✦ AL Quran :  Jab tum Quran padhne lago to Shaitan mardood se Allah ki panah mein aa jaya karo (yani pahle Auzubillahi-Minash-shaitanirrajeem padh liya karo) Surah An-Nahal (16), Aayat 98 trade marketing ad tracking clipping services market trading software marketing database...