Posts

Showing posts with the label Sunan Abu Dawud

Featured Post

Teen Qisam ke log aise hai jinka zaameen Allah Subhanahu hai (yani unki hifazat Allah ke zimme hai)

Image
*Bismillahirahmanirrahim* *Hadith: Teen Qisam ke log aise hai jinka zaameen Allah Subhanahu hai (yani unki hifazat Allah ke zimme hai)* -------- ✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya teen Qism ke log aise hai jinka zaameen Allah Subhanahu hai (yani unki hifazat Allah ke zimme hai) Ek wo Jo Allah Subhanahu Ke raste main jihad ke liye nikle Allah Subhanahu uska zaameen hai ya usay maut de Kar Jannat main dakhil karega ya ajer de aur ganimat ke sath wapas lautaega, dusra wo shakhs Jo Masjid ki taraf chala Allah Subhanahu uska zaameen hai ya usay wafat de Kar Jannat main dakhil karega ya ajar aur ganimat ke sath wapas lautayega teesra wo shakhs Jo apne ghar main salam Kar ke dakhil hua Allah subhanahu uska bhi zaameen hai Sunan Abu Dawud, Jild 2, 722-Sahih -----

Museebat ya Pareshani mein padhne ki dua

Image
Bismilahirrahmanirrahim  Hadith : Museebat ya Pareshani mein padhne ki dua  -------------------------- Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jo kisi  museebat ya pareshani mein ho to usko ye dua padhni chahiye  اللَّهُمَّ رَحْمَتَكَ أَرْجُو فَلاَ تَكِلْنِي إِلَى نَفْسِي طَرْفَةَ عَيْنٍ وَأَصْلِحْ لِي شَأْنِي كُلَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ Allahumma Rahmataka Arju Fala Takilni ila nafsi tarfata Aynin  wa aslih li sha'ni kullahu, La ilaha ila anta Eh Allah main teri Rahmat ka ummeedwar hun so ek lamhey ke liye bhi mujhe mere nafs ke hawaley na kar aur mere sab kaam bana de  tere siwa koi bhi ibadat ke layaq nahi Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1649-Sahih -------------------------

✦ Tauba Astigfar karne walo ke liye inaamat ✦

Image
Bismillahirrahmanirrahim --------------- Al Quran : Apne RABB se maafi maango ✦ Wo bada maaf karne wala hai ✦ Wo Aasman se tum par (Rahmat ki) baarish barsayega ✦ Aur maal se tumhari madad farmayega  ✦ Aur aulad se (tumhari madad farmayega) ✦ Aur tumhe baag (garden) ata karega  ✦ Aur unmein tumhare liye nahrein baha dega  Surah Al-Nooh (71), Verse 10-12 ✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya jo Astigfar karne ko apne upar lazim karega to Allah subhanhu usko har tangi se nikalne ka ek raasta ata farmayega aur har Gam se Nijat dega aur aisee jagah se Rozi ata farmayega jahan se usko Guman bhi nahi hoga Sunan Abu Dawud, Jild 1, 1505 -Hasan ---------------

Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ka Aakhri kalam Namaz, Namaz (ki hifazat karna) tha

Image
*Bismillahirahmanirrahim* ✦ *Hadith:Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ka Aakhri kalam Namaz, Namaz (ki hifazat karna) tha*  ------ ✦ Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ka aakhri kalam ye tha , Namaz (ki hifazat karna),Namaz (ki hifazat karna) aur apne gulamon ke bare  mein Allah Subhanahu se darte rahna  Sunan Abu dawud, Jild 3, 1713-Sahih ------

Sir dard mein Hijama aur pairon ke dard mein Mehandi faydemand hai

Image
Bismillahirahmanirrahim ---------------- ✦ Salma Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Jo shaksh bhi apne sir dard ki shikayat le Kar Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke paas aata to  Aap SallAllahu Alahih Wasallam usay Hijama Ka hukum dete aur Jo Shaks apne pairon mein dard ki shikayat le Kar aata Aap Sallallahu Alahih  Wasallam usay farmate unmein hinna (Mehnadi) lagao Sunan Abu Dawud,Jild 3,460 Hasan -----

Ye tee surah tumhe har cheez ke liye kaafi ho jayegi

Image
Bismillahirrahmanirrahim ✦ Hadith:  Ye tee surah tumhe har cheez ke liye kaafi ho jayegi ---------------------- ✦ Abdullah bin khubayb Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Subah aur sham 3 baar Surah Al-Ikhlas , Surah Al-Falaq Aur Surah An-Nas padh liya karo , ye tumhe har cheez ke liye kaafi ho jayegi (yani har tarah ki pareshaniyo se bachne ke liye ye kaafi hain) Sunan Abu dawud, Jild 3, 1643-Hasan ✦  Uqba bin amir radi allahu anhu se rivayat hai ki RasoolAllah  Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya har namaz ke baad  aakhri teen surah yani Surah Al-Ikhlas, Surah Al-Falaq  aur Surah An-Nas padha karo Al Silsila As sahiha, 2776 ----------------------

jab koi is naam se us (Allah) se maangta hai to Wo deta hai....

Image
Bismillahirrahmanirrahim ★ Hadith:  jab koi is naam se us (Allah) se maangta hai to Wo deta hai.... ------------------- ★ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek shaksh ko ye dua karte huye suna  اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ أَنِّي أَشْهَدُ أَنَّكَ أَنْتَ اللَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ الأَحَدُ الصَّمَدُ  الَّذِي لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ وَلَمْ يَكُنْ لَهُ كُفُوًا أَحَدٌ Allahumma inni asaluka  Anni Ashhadu annaka antallahu la ilaha illa ant,  Al Ahadus-Samad , Al-ladhi lam yalid wa lam yulad,  wa lam yakullahu kufuwan Ahad  ★ to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tune Allah ko aise naam se pukara hai ki jab koi is naam se us (Allah) se maangta hai to (Wo Allah) deta hai aur jab iske zariye dua ki jati hai to Qubul ki jati hai  ★ Tarjuma: YA ALLAH , main tujhse maangta hu, Main gawahi deta hu ki tu hi ALLAH hai , tere siwa koi mabud nahi, Al-Ahad (Ek) hai , As-Samad (Beniyaz) hai, (tu) Wo hai ji...

Jab Masjid mein dakhil hote waqt ye padhe to shaitan se din bhar ke liye mehfooz ho jayega

Image
Bismillahirrahmanirrahim ✦ Jab Masjid mein dakhil hote waqt ye padhe to shaitan se din bhar ke liye mehfooz ho jayega ------------- ✦ Amr bin aas Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahau Alaihi wasallam jab masjid mein tashrif le jaate to farmate أَعُوذُ بِاللَّهِ الْعَظِيمِ وَبِوَجْهِهِ الْكَرِيمِ وَسُلْطَانِهِ الْقَدِيمِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ Aawuzu billahil-Azim, Wa bi-Wajhihil-Karim, wa Sultanihil-qadim, minash-Shaytanir-rajim Main Allah ki azmat ki aur uski zaat e kareem ki aur uski qadeem badshahat ki shaitan mardud se panah chahta hu aur jab masjid mein dakhil hone wala aadmee ye kahta hai to shaitan kahta hai ab wo mere shar se din bhar ke liye mehfooz ho gaya Sunnan Abu Dawud Jild 1, 463-Sahih -------------

Apni Aulad ke liye baddua na Karo kahi Allah Subhanahu tumari baddua Qubul na Kar le

Image
*Bismillahirahmanirrahim* ✦ *Hadith: Apni Aulad ke liye baddua na Karo kahi Allah Subhanahu tumari baddua Qubul na Kar le* --------- ✦Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya tum log na apne liye baddua karo aur na hi apni Aulad ke liye na apne khadimo ke liye na hi apne maalo ke liye kahin aisa na ho ke wo ghadi aise ho jis main dua Qubul Hoti ho aur Allah Subhanahu baddua Qubul Kar le  Sunan Abu Dawud, Jild 2, 1519-Sahih ------

Badan ke aafiyat (salamati) ki dua

Image
Bismilahirrahmanirrahim  ✦ Badan ke aafiyat (salamati) ki dua ------------ ✦ Abdul rahman bin Abu bakr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki unhone apne walid se pucha ki Abbu jaan main aapko har subah aur sham ko teen martaba ye dua padhte huye sunta hu  اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي بَدَنِي اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي سَمْعِي اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي بَصَرِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ ✦ Allahumma Aafini fi badani, Allahumma Aafini fi samaee, Allahumma aafini fi Bashari, La ilaha illa Anta. ✦ Ya Allah tu mere badan mein aafiyat ata farma , Ya Allah tu mere kaano mein aafiyat ata farma ,Ya Allah tu meri nigaho mein aafiyat ata farma tere siwa koi maabud nahi to unhone kaha ki maine Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ko yahi dua isee tarah padhte huye suna hai aur mujhe pasand hai ki main unki sunnat par amal karta rahu Sunan Abu Dawood, Jild 3, 1649-Hasan -----------

Apne Waldein Aur Tamam Momeeno Ke Liye Magfirat Ki Qurani Dua

Image
Bismillahirrahmanirrahim  ✦ Apne Waldein Aur Tamam Momeeno Ke Liye Magfirat Ki Qurani Dua  ------------------- رَبَّنَا اغْفِرْ لِي وَلِوَالِدَيَّ وَلِلْمُؤْمِنِينَ يَوْمَ يَقُومُ الْحِسَابُ ✦ Rabbana Agfirlee Waliwalidaeeya Wa lilmumeenina Yauma  Yaqaumul hisab ✦ Al Quran : Eh hamare RABB mujhko aur mere waldein (parents) ko aur momeeno ko hisab wale din baksh dena. Surah Ibrahim (14) , Aayat 41 ✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya RABB apne bando se khush hota hai jab wo (banda) kahta hai ki mere gunaho ko bakhsh de , wo janta hai ki uske siwa gunaho ko koi bhi maaf nahi kar sakta Sunana Abu dawud, Jild 2, 830-Sahih -------------------

Andhere mein masjid mein jaane walon ko Mukammal noor ki khushkhabri hai

Image
Bismillahirrahmanirrahim  ✦ Hadith: Andhere mein masjid mein jaane walon ko Mukammal noor ki khushkhabri hai  ------------- ✦ Buraydah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki  Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Andhero mein masjid mein jane walon ko khushkhabri de do ki unke liye Qayamat ke din Mukammal noor hoga Sunan Abu Dawud, Jild 1 , 559 –Sahih ✦ Tashreeh : Ulmao ka kahna hai ki is hadith mein andhere se murad Isha aur fajar ke waqt ka andhera hai , yani in dono namazo ko pabandi se jamat ke saath padhne walo ko qayamat ke din noor ata kiya jayega  Daleel al-Faatiheen (3/558-559) -------------

museebat ( ya pareshani) ke waqt padhne ki dua

Image
-------------------------------------------------------- : بسم الله الرحمن الرحيم عَنْ أَسْمَاءَ بِنْتِ عُمَيْسٍ، ‏‏‏‏‏‏قَالَتْ:‏‏‏‏ قَالَ لِي رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏   أَلَا أُعَلِّمُكِ كَلِمَاتٍ تَقُولِينَهُنَّ عِنْدَ الْكَرْبِ، ‏‏‏‏‏‏أَوْ فِي الْكَرْبِ:‏‏‏‏ اللَّهُ، ‏‏‏‏‏‏اللَّهُ رَبِّي لَا أُشْرِكُ بِهِ شَيْئًا  . Bismillahirrahmanirrahim Mafhum-e-Hadith: museebat ( ya pareshani) ke waqt padhne ki dua اللَّهُ اللَّهُ رَبِي لاَ أُشْرِكُ بِهِ شَيْئًا Hazrat Asma bin Umays Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne mujhse farmaya ki kya main tumhe aise kalimat na sikhauu jinko tum museebat ( ya pareshani) ke waqt padha karo (Wo kalimat ye hain) , Allahu, Allahu Rabbi La ushrika behi shayaa (ALLAH , ALLAH mera Rab hai aur main uske saath kisi ko sharik nahi karta) Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1512-Sahih ----------------------

Nagahani museebat yani achanak aane wali musaeebat se bachne ki dua

Image
سَمِعْتُ عُثْمَانَ، - يَعْنِي ابْنَ عَفَّانَ - يَقُولُ سَمِعْتُ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَقُولُ ‏  مَنْ قَالَ بِسْمِ اللَّهِ الَّذِي لاَ يَضُرُّ مَعَ اسْمِهِ شَىْءٌ فِي الأَرْضِ وَلاَ فِي السَّمَاءِ وَهُوَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ ثَلاَثَ مَرَّاتٍ لَمْ تُصِبْهُ فَجْأَةُ بَلاَءٍ حَتَّى يُصْبِحَ وَمَنْ قَالَهَا حِينَ يُصْبِحُ ثَلاَثَ مَرَّاتٍ لَمْ تُصِبْهُ فَجْأَةُ بَلاَءٍ حَتَّى يُمْسِيَ ‏ .‏ قَالَ فَأَصَابَ أَبَانَ بْنَ عُثْمَانَ الْفَالِجُ فَجَعَلَ الرَّجُلُ الَّذِي سَمِعَ مِنْهُ الْحَدِيثَ يَنْظُرُ إِلَيْهِ فَقَالَ لَهُ مَا لَكَ تَنْظُرُ إِلَىَّ فَوَاللَّهِ مَا كَذَبْتُ عَلَى عُثْمَانَ وَلاَ كَذَبَ عُثْمَانُ عَلَى النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم وَلَكِنَّ الْيَوْمَ الَّذِي أَصَابَنِي فِيهِ مَا أَصَابَنِي غَضِبْتُ فَنَسِيتُ أَنْ أَقُولَهَ سنن ابو داوود   ٥٠٨٨ صحیح Bismillahirrahmanirrahim ✦ Nagahani museebat yani achanak aane wali musaeebat se bachne ki dua ----------------- بِسْمِ اللَّهِ الَّذِي لَا يَضُرُّ مَعَ اسْمِهِ شَيْ...

Jaha tak uski (Muadhdhin ki) aawaz jati hai uskey liye tamam khush aur tar cheezain gawah ban jati hai

Image
Bismillahirrahmanirrahim Mafhum-e-Hadith - Jaha tak uski (Muadhdhin ki) aawaz jati hai uskey liye tamam khush aur tar cheezain gawah ban jati hai Abu huraira Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Muadhdhin ( Adhan dene wala) bakhsh diya jata hai jaha tak uski aawaz jati hai uskey liye tamam khush aur tar cheezain gawah ban jati hai. Aur Namaz ( ki jamaat) mein aaney waley ke liye 25 Namazon ka sawab likha jata hai aur ek Namaz se dusri Namaz tak ke gunaah maaf kar diye jatey hain Sunan Abu Dawud, Vol 1, # 513-Sahih ----------------

Aibo ko chupane ki dua

Image
Bismillahirrahmanirrahim ✦ Aibo ko chupane ki dua ---------------- ✦  Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne subah aur shaam ko is dua ko padhna kabhi nahi chorha اللَّهُمَّ اسْتُرْ عَوْرَتِي ‏‏ وَآمِنْ رَوْعَاتِي Allahummastur 'awrati, wa amin raw'ati ****** ✦  Eh Allah mere aibo ko chupa de aur mere dil ko mutmayeen kar de  Sunan Abu Dawud,Jild 3, 1637-Sahih stock photos stock photography free stock photos royalty free images pictures of money picture search royalty free food pictures medical clipart pictures of computers computer pictures royalty free photos free stock photography stock photo photo search stock poster medical pictures stock images wildlife photos vector graphics Acceleration Adconion  Adform  AdGear  Adience  Aditor Adjust AdKnowledge AdLabs  Advantage Media Advertising Alliance Advertising Technologies AdView Affinity Agenda Media Allrecipes.com Amazon India AMNE...

Tauba Astagfar ki Fazilat

Bismillahirrahmanirrahim ✦ Tauba Astagfar ki Fazilat ------ ✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisne ye kalimat kahe to uske gunah maaf kar diye jayenge chahe wo Maidan e jung se bhag gaya ho أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ الَّذِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَىُّ الْقَيُّومُ وَأَتُوبُ إِلَيْهِ  Astagfirullah-Al-lazi la ilaha illa Huwa Al-Hayyul-Qayyum wa atubu ilaih  ✦ Tarjuma : Main ALLAH se apne gunaho ki maafi maangta hu jiske siwa koi ibadat ke layaq nahi , Jo zinda aur hamesha rahne wala hai aur main usee ki taraf tauba karta hu  Sunan Abu Dawud,Jild 1,1504-Sahih ---------- ---------- ✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo Astigfar karne ko apne upar laazim karega to Allah subhanhu usko har tangi se nikalne ka ek raasta ata farmayega aur har Gam se Nijat dega aur aisee jagah se Rozi ata farmayega jahan se usko Guman bhi nahi hoga Al Muajjam Al Kabir,Tabrani-Sahih ----------- ----------- ✦ Rasool-Allah Sal-...