Posts

Showing posts with the label Surah Al-Isra

Featured Post

Maa Baap ke liye Qurani dua

Image
Bismillahirrahmanirrahim ✦ Al Quran : Aur tumhare RAB ne farmaya hai ki uske siwa kisi ki ibadat na karo aur Maa baap (parents) ke saath bhalaii (neki) karte raho aur agar tumhare samne unmein se ek ya dono budhapey ko pahunch jaye to unhey UFF bhi na kaho aur na unhey jhidako aur unsey adab se baat karo aur unkey samne shafqat se aajazi ke saath jhuke raho aur kaho ki  رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Eh Mere RABB jaise unhone ( mere maan baap ne) mujhe bachpan se paala hai isi tarah tu bhi un par raham farma  Surah Al-Isra (17), Verse 23-24  -------------------

ماں بابا لیری قرآن دعا

Image
بسم اللہ الرحمن الرحیم ------------------- اور تمہارے پروردگار نے ارشاد فرمایا ہے کہ اس کے سوا کسی کی عبادت نہ کرو اور ماں باپ کے ساتھ بھلائی کرتے رہو۔ اگر ان میں سے ایک یا دونوں تمہارے سامنے بڑھاپے کو پہنچ جائیں تو اُن کو اُف تک نہ کہنا اور نہ انہیں جھڑکنا اور اُن سے بات ادب کے ساتھ کرنااوران کے سامنے شفقت سے عاجزی کے ساتھ جھکے رہو اور کہو اے میرے رب جس طرح انہوں نے مجھے بچپن سےپالا ہے اسی طرح تو بھی ان پر رحم فرما -------------------

Aur tumhare RAB ne farmaya hai ki uske siwa kisi ki ibadat na karo aur

Image
Bismillahirrahmanirrahim ✦ Al Quran : Aur tumhare RAB ne farmaya hai ki uske siwa kisi ki ibadat na karo aur Maa baap (parents) ke saath bhalaii (neki) karte raho aur agar tumhare samne unmein se ek ya dono budhapey ko pahunch jaye to unhey UFF bhi na kaho aur na unhey jhidako aur unsey adab se baat karo aur unkey samne shafqat se aajazi ke saath jhuke raho aur kaho ki  رَّبِّ ارْحَمْهُمَا كَمَا رَبَّيَانِي صَغِيرًا Eh Mere RABB jaise unhone ( mere maan baap ne) mujhe bachpan se paala hai isi tarah tu bhi un par raham farma  Surah Al-Isra (17), Verse 23-24 

Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam ✦ 2. Al-isra wa Al-Mairaj

Image
Bismillahirrahmanirrahim ✦ Part 20 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam ✦ 2. Al-isra wa Al-Mairaj  -------------- …..Aur darwaza khol diya gaya jab main andar gaya to maine waha adam alaihi salam ko dekha jibril alaihi salam ne farmaya ye aapke Jadd Amjaz Adam alaihi salam hain unh sala kijiye maine unko salam kiya aur unhone jawab diya aur farmaya khush aamdeed nek bete aur neik Nabee , jibril alaihi salam phir upar ki taraf chade aur dusre aasman par aaye aur waha bhi darwaza khulwaya gaya aur Poocha gaya kaun sahab hai ? Unhone bataya ki Jibril Alaihi salam, Poocha gaya aur aapke saath kaun hai? Aapne farmaya ki Hazrat Muhammed Sallallahu Alaihi wasallam, poocha gaya , kya unhe bulane ki liye aapko bheja gaya tha? Unhone jawaab diya haan .. is par aawaaz aayee unhein khush aamadid ! Kya hi mubaarak aane wale hain wo phir darwaza khula aur main andar gaya to waha Yahya aur isa alaihi salam mojud they ye dono khala zaad bhai hain, Jibril Alaihi Salam ne farma...

Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam ✦ 3. Al-isra wa Al-Mairaj

Image
Bismillahirrahmanirrahim ✦ Part 21 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam ✦ 3. Al-isra wa Al-Mairaj  -------------- ✦ Ab darwaaza khula jab mai waha idris Alaihi salam ki qareeb pahuncha to Jibril Alaihi salam ne farmaya ye idris Alaihi Salam hai inhein salaam kijiye maine unhein salaam kiya aur unhone jawaab diya aur farmaya khush aamadid paak bhai aur neik Nabi. ✦ Phir mujhe le kar paanchwe (5th) aasmaan per aaye aur darwaza khulwaya to Poucha gaya kaun sahab hai ? Unhone bataya ki Jibril Alaihi salam, Pucha gaya aur aapke saath kaun hai? Aapne farmaya ki Hazrat Muhammed Sallallahu Alaihi wasallam, Pucha gaya , kya unhe bulane ki liye aapko bheja gaya tha? Unhone jawaab diya haan .. is par aawaaz aayee unhein khush aamadid ! Kya hi mubaarak aane wale hain wo, yahan jab mai haroon Alaihi salam ke Qareeb pahuncha to jibraeel Alaihi salam ne farmaya ye Haroon Alaihi Salam hai inhein salam kijiye Maine unhein salaam kiya unhone jawaab k baad farmaya khush ...

Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Image
Bismillahirrahmanirrahim ✦ Part 19 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam ✦ 1. Al-isra wa Al-Mairaj  -------------- Abbas bin malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Malik Radi Allahu Anhu ne kaha ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne unse shab e mairaj ka waqiya bayaan kiya. Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ki main hatim me leta hua tha.  Baaz dafa qatada ne hatim ki bajaye hajar Bayaan kiya ki mere pass ek sahab ( jibrail Alaihi Salam ) aaye aur mera sina chaak kiya , maine hazrat Anas se suna , unhone bayan kiya ki Aap Sallallahu Alaihi wasallam ke mubarak sine ko uper se naaf tak chaak kiya ,fir aapne farmaya mera dil nikala aur ek sone ka tasht laya gaya Jo imaan se bhara hua tha ,us se mera dil dhoya gaya aur pahle ki tarha rakh diya gaya.  ✦ is k baad ek janwar laya gaya , Jo ghodhe se chota aur ghadhe se bada tha aur safed,Hazrat Anas Radi Allahu Anhu se poocha Abu Hamzah ! Kya wo burraaq tha ? Aapne farmaya " Haan". U...

Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam ✦ 4-Al-isra wa Al-Mairaj ✦ Part 22 -

Image
Bismillahirrahmanirrahim ✦ Part 22 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam ✦ 4-Al-isra wa Al-Mairaj  -------------- ✦ …Phir jibril Alaihi Salam mujhe le kar saatwe aasmaan (7th) ki taraf gaye, aur darwaza khulwaya to Poucha gaya kaun sahab hai ? Unhone bataya ki Jibril Alaihi salam, Pucha gaya aur aapke saath kaun hai? Aapne farmaya ki Hazrat Muhammed Sallallahu Alaihi wasallam, Pucha gaya , kya unhe bulane ki liye aapko bheja gaya tha? Unhone jawaab diya haan .. is par aawaaz aayee unhein khush aamadid ! Kya hi mubaarak aane wale hain wo, Mai jab ander gaya to Ibrahim Alaihi Salam tashrif rakhte the. Jibril Alaihi Salam ne farmaya ye Aapke jadde amjad hain inhein salaam kijiye. Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya ki maine unko salaam kiya to unhone jawab diya aur farmaya Khush aamdeed neik nabi aur neik bete. ✦ Phir sidratul muntaha ko mere samne kar diya gaya Maine dekha ki uske phal (fruit) muqam e hajar ki matko ki tarah (bade bade) the ...

Muhammad Sal-Allahu Alaihi Wasallam wo hain

Image
Bismillahirrahmanirrahim  #WhoisMuhammad ( Sal-Allahu Alaihi Wasallam ) Muhammad Sal-Allahu Alaihi Wasallam wo hain  1. Jinhone jung ka duarn bhi aurton aur bachcho ko qatl karne se mana kiya.  Sahih Bukhari, Vol 4, 3014 2. Jinhone farmaya ki jo shaksh kisi aisee jaan ko maar dale jiska ahad kar chuka ho (uske Jaan ki amaan de chuka ho) to phir wo jannat ki khushbu bhi nahi paa sakega Sahih Bukhari, Vol8, 6914 3. Jinhone farmaya ki Jab do shaksh gaali galoch kare to dono ka gunaah usi par hoga jo Ibtida (shurooaat) karega jab tak mazloom zyadati na karey Sahih Muslim, Vol 6, 6591 4. Jinhone farmaya ki Main us shakhs ke liye jannat ke atraf mein ek ghar ki zamanat deta hu jo haq par hone ke bawajud jhagda chodh de Sunan Abu Dawud, Vol 3, 1372-Hasan 5. Jinhone farmaya ki Imaan ke aitbar se Kamil Momeen wo hain jinke Akhlaq behatreen hain Sunan Abu Dawud, Vol 3 ,1257-Sahi...