Bismillahirrahmanirrahim ✦ Al Quran : Asr ki Kasam, Insaan nuqsaan mein hain,Magar wo log jo imaan laye aur neik kaam karte rahe aur haq par qayam rahne aur Sabr karne ki aapas mein waseeyat ( takid) karte rahe Surah Al-Asr (103) ✦ Al Quran : Tum mein se ek jamaat aisee honi chahiye jo logo ko neki ki taraf bulaye aur achche kaam karne ka hukm de aur burey kaamo se mana kare, Ye log nijat pane wale hain Al Quran , Surah Aal-E-Imran (3) Verse 104 ✦ Hadith: Hudhaifah bint Al-Yaman Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya us ALLAH ki qasam jiske haath mein meri jaan hai Logo ko achchi baat ki hidayat karte raho aur burey kaam se rokte raho warna Qareeb hai ki ALLAH subhanahu tum logo par azab bhej de aur tum duaayein mango aur wo qubul na kare Jamia Tirmidhi, Vol 2, 42-Hasan -----------