Bismillahirrahmanirrahim
-------------
✦ Share karne se pahle ek baar jarur pura padhkar sawab hasil kar liiyega
-------------
✦ La ilaha illAllah
-------------
✦ Alhamdulillahi Rabbil Aalamin
-------------
✦ SubhanAllahi wa biHamdihi
-------------
✦ La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, lahul-mulk wa lahul-hamd Yuhi wa Yumeet, wa huwa Ala kulli shayin qadir
-------------
✦ La Hawla wa La Quwwata illa billah
-------------
✦ Allahumma Salli Ala Muhammed Wa Aali Muhammed
-------------
✦ Hadith 1 : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo bhi (ek baar)
لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ
La ilaha illAllah kahega uske liye 20 nekiya likhi jayengi aur 20 gunah mita diye jayenge
Masnad Ahmed, 7813-Sahih
-------------
✦ Hadith 2 : Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jo koi dil se
الْحَمْدُ لِلَّهِ رَبِّ الْعَالَمِينَ
Alhamdulillahi Rabbil Aalamin
kahega (yani zuban ke saath dil se bhi iska yakeen ho ki Tamam tarife Allah ke liye hain aur wahi sare jahan ka palne wala hai) to uske liye 30 nekiya likhi
jayegi aur 30 gunah mita diye jayenge
Masnad Ahmed, 7813-Sahih
-------------
✦ Hadith 3 : Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Jo Shakhs
سُبْحَانَ اللّهِ وَ بِحَمْدِهِ
Subhanallahi wa Bihamdehi din mein 100 baar kahe uske gunaah mita diye jaynege chahe wo samundar ke jhaag ke barabar ho.
Sahih Muslim, Jild 6 6842
-------------
✦ Hadith 4 :
لَا إِلَهَ إِلَّا اللهُ وَحْدَهُ لَا شَرِيكَ لَهُ، لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ يُحْيِي وَيُمِيتُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
✦ La ilaha illAllah wahdahu la sharika lahu, lahul-mulk wa lahul-hamd Yuhi wa Yumeet, wa huwa Ala kulli shayin qadir
✦ Abu Ayyub Ansari Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jis shakhs ne subah ke waqt 10 martaba ye kalimat padhe to Allah subhanahu har ek martaba kahne se 10 nekiya likh dega , 10 burayeeya mita dega , aur uske 10 darjat buland kiye jayenge , aur ye kalimat uske liye 10 gardane aazad karne ke barabar hoga (10 baar kahne se ye ajar 10 guna ho jayega yani 100 nekiya) aur din ke shuru se lekar aakhir tak ye uska hathyar honge aur us din koi shakhs aisa amal nahi karega jo un kalimat se badh kar ho agar wo sham ke waqt ye kalimat padhe to bhi utna hi sawab hai
Note : Ye sawab har ek martaba kahne se milega isliye jo 10 martaba kahega uska ajar In sha Allah 10 guna ho jayega
Al-Silsila-tus-Sahiha-2967-Hasan
-------------
✦ Hadith 5 : Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya
لاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ
La haula wa la Quwwata illa billah zyada padha karo kyunki ye Jannat ke khazano mein se ek khazana hai
Jamia Tirmizi,Jild 2, 1524-Sahih
-------------
✦ Hadith 6 :
اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ، وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ
Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaksh mujh par Ek martaba Durud bhejega to Allah subhanahu us par 10 martaba rahmat bhejega aur uskey 10 gunaah maaf honge aur 10 darjaat buland honge
Sunan An Nasaii, Jild 1, 1300 -Sahih
--------------
Comments
Post a Comment