Featured Post

Part 5 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahirrahmanirrahim

Part 5 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam *

Al Quran : Allah subhanahu ne momeeno par bada ehsan kiya hai ki unmein unhi mein se ek Rasool ( Sal-Allahu Alaihi Wasallam ) bheje jo un par us (RAB) ki aaytein padhte hain aur unhe kitab aur danayee sikhate hain aur (unke aane se ) pahle ye log khuli gumrahi mein they
Surah Aal-e-imran (3), 164

Al Quran : Tumhare pass tum hi mein se ek Rasool (Muhammad Sal-Allahu alaihi wasallam) aaye hain tumhari takleef unko giraah (yani apni) malum hoti hai , aur tumhari bhalaii ke khwahish mand hai aur momeeno par nihayat shafqat karne wale (aur) Meharbaan hain.
Surah At-Taubah (9) , 128

Al Quran : Haqeeqat mein tumhare liye Rasool-Allah (Sal-Allahu Alaihi Wasallam ka qaul aur amal )ek behtareen namuna (example) hain , unke liye jo Allah aur aakhirat ke din par imaan rakhte hain aur Allah ko bahut yaad karte hain
Surah AL-Ahzab (33), 21

Al Quran : Wo log jo us Rasool (Sal-Allahu Alaihi Wasallam) ki paiwari karte hain jo ummi Nabee hain jisko apne waha taurat aur injeel mein likha hua pate hain , wo (Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam ) unko neki ka hukm dete hain aur bure kaam se rokte hain aur un par paak cheezein halal karte hain aur napak cheezein haram karte hain aur unpar se wo bojh aur bandishein utarte hain jo un par thi , wo log jo un par imaan laye aur unki himayat ki aur unki madad ki aur us noor ki pairwai ki jo unke saath bheja gaya , yahi log nijat pane wale hain
Surah Al-Aaraf (7) 157
------------------------------------------------------------

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day