Featured Post

Agar kisi ko kasam khani ho to Allah ki hi Qasam khaye warna khamosh rahe



Bismillahirrahmanirrahim 

Hadith: Agar kisi ko kasam khani ho to Allah ki hi Qasam khaye warna khamosh rahe

Allah Subahanhu tumhari be irada kasmo par tumhey naki pakadta hai lekin un kasmo par pakadta hai jinhey tum pukhta (mazbut ) kar detey ho , uska kaffara 10 Mohtajon ko awsat darjey ka khana khilana hai jo tum apney ghar walo ko khilatey ho ya 10 miskino ko kapdey dena ya Ek Ghulam Aazd karna phir jo shaksh ye na kar paye to wo 3 din ke rozey rakhey ye tumhari kasmo ka kaffara hai jab tum kasam kha lo ( aur usey tod do) aur tumhey chahiye ki apni kasmo ki hifazat karo , Allah Subhanahu isi tarah tumharey liye hukm bayan karta hai taki tum Shukar karo
{AL Quran, Surah Al Maeda (5), Verse 89}

Hazrat Abdullah bin umar Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya ki agar kisi ko kasam khani ho to Allah ki hi kasam khaye warna khamosh rahey.
{Sahih Bukhari, Vol4, 2679}

Ibn 'Umar Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki wo Umar bin khattab Radi Allahu Anhu ke pass gaye tab wo kuch logon ke saath they aur us waqt Hazrat Umar Radi Allahu Anhu apney walid ki kasam kha rahey they is par Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne unhey pukar kar farmaya aagaah ho jao ki Yakeenan Allah subhanahu tumhey mana karta hai ki tum apney walid ki kasam khao , agar kisi ko kasam hi khani hai to wo Allah ki kasam khaye warna chup rahey.
{Sahih Bukhari, Vol 7, 6108}

Thabit bin Ad-Dahhak Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya jisney islam ke siwa kisi aur mazhab ki jhooti kasam khayee to wo waisa hi ho jata hai jiski usney kasam khayee aur jisney kisi cheez se khudkushi kar li to usey Jahannam mein usi se azab diya jayega, aur momeen par laanat bhejna usey Qatl karney ke barabar hai, aur jisney kisi momeen par kufr ki tohmat lagayee to ye (bhi) uskey Qatl karney ke barabar hai
{Sahih Bukhari, Vol 7, 6105}



-----------------------------------------------------------------

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day