Featured Post

Betiyan Qayamat ke din jahannam se uski aad (protection) hongi


Bismillah irrahman irrahim

✦ Hadith: Betiyan Qayamat ke din jahannam se uski aad (protection) hongi 
-----------
✦ Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmya jiski betiyan ho aur wo unke saath neki kare to wo Qayamat ke din jahannam se uski aad (protection) hongi 
Sahih Muslim, Vol 6, 6693

✦ Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki ek miskeena (fakeer aurat) mere paas ayee apni 2 betiyon ko liye huye mainey usko 3 khajurain dee usney har ek beti ko ek ek khajur dee aur teesri khajur khaney ke liye munh se lagayee itney mein uski betiyon ne wo khajur bhi mangi usney us khajur ke isey khud khana chahti thi 2 tukdey kiye mujhe ye haal dekhkar taajjub hua mainey jo usney kiya tha Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam se bayan kiya Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah subhanahu ne is wajah se uskey liye jannat wajib kar di ya jahanam se aazad kar diya.
Sahih Muslim, 6694

✦ Malik radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo Do betiyon ko paale unke jawan hone tak, Qayamat ke din wo aur main is tarah se aayenge aur Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne apni unglion ko mila kar bataya
Sahih Muslim, Jild 6, 6695

---------------------------

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day