✦ Kalma-e-Shahadat ki taqat aur uski ahmiyat
---------------------
Abdullah bin amr bin aas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya ki Qayamat ke din Allah
subhanahu meri ummat mein se ek shakhs ko juda karega aur uske gunaho ke 99 daftar khole jayenge, har daftar itna bada hoga jaha tak
insan ki nazar pahuchti hai , phir Allah subhanahu farmayenge ki kya tujhe ismein se kisi baat (gunah) ka inkar hai , kya mere likhne
wale muhafiz farishto ne tujh par zulm kiya hai ? wo arz karega nahi Ya Rabb , phir Allah subhanahu farmayenge ki hamare paas teri ek
neki hai aaj tujh par zulm nahi hoga phir kagaz ka ek tukda nikala jayega jis par
أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ
Ashhadu alla ilaha il-Allahu, wa ash-hadu anna Muhammadan Abduhu Wa Rasuluh Likha hua hoga , Allah subhanhu farmayenge ki meezan ke
pass hazir ho ja wo kahega Ya ALLAH un (gunaho ke) daftaro ke samne is chote se kagaz ka kya wazan hoga , Allah subhanahu farmayenge
ki aaj tujh par koi zulm nahi hoga , Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya phir ek palde mein wo 99 daftar rakhe jayenge aur dusre
palde mein kagaz ka wo tukda rakha jayega , daftaro ka palda halka ho jayega jabki wo (kalme wala) kagaz ka tukda bhari ho jayega .Aap
Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya ki Allah subhanahu ke naam ke barabara koi cheeez nahi ho sakti
Jamia Tirmizi, Jild 2, 534-Sahih
---------------------------------
_._,_.___
Comments
Post a Comment