Featured Post

Mafhum-e-Hadith: Maa Baap ki khidmat karne ki ahmiyat

Bismillahirrahmanirrahim 

✦ Mafhum-e-Hadith: Maa Baap ki khidmat karne ki ahmiyat
-----------------
✦ Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki ek shakhs Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam kei khidmat mein hazir hau aur jihad mein jaane ki ejazat maangi to Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne pucha ki kya tumhare Maa-Baap zinda hain to usne kaha ji haan, Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya phir tum unki khidmat karo
Sahih Bukhari, Jild 4, 3004

✦ Mu'awiyah bin Jahimah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Jahima Radi Allahu Anhu Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ke paas aaye aur arz ki Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam maine Jihad mein shamil hone ka irada kar liya hai aur iske liye main aapka mashwara chahta hu Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya kya tumhari Maa zinda hai unhone arz ki Ji haan to Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya to phir tum unki khidmat karo kyunki Jannat Maa ke qadmo ke neeche hai
Sunan Nasaii, Jild 2, 1016-Sahih
-------------

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day