Hadith: Musalman khud ek dusre ko halak karenge aur ek dusrey ko Qaid karenge
------------------------------
Thauban radi allahu anhu se Rivayat hai ki Rasool-Allah sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Allah Subhanahu ne lapet liya zameen ko mere liye (yani sab zameen ko mere samne kar diya) to maine uska purab aur pachchim dekha aur meri hukumat wahantak pahuchegi jaha tak zameen mujhko dikhlayee gayee aur mujhko do khazane mile surkh aur safed aur maine Dua ki apne Allah se ki meri ummat ko ek hi martaba qahat se halak na karna aur un par kisi aise dushman ko musallat na karna jo sari ummat ko halak kar de ,
Mere Allah ne farmaya Eh Muhammed Sallallahu Alaihi Wasallam main jab koi hukm kar deta hun phir wo nahi palat-ta, aur maine Aapki ye Duayein qubul ki Main Aapki ummat ko Aam qahat se halak na karunga aur na un par kisi aise dushman ko musallat karunga jo sari ummat ko halak kar de chahey zameen ke tamam log iske liye ek saath ho jaye ( ki musalmano ko tabah karne ke liye lekin unko bilkul tabaah na kar sakege) yahan tak ki khud musalman ek dusrey ko halak karenge aur ek dusre ko Qaid karenge
Sahih Muslim, Vol 6, 7258
------------------------------
Comments
Post a Comment