Bismillahirrahmanirrahim
✦ Hadith : Aise azkar jiska jawab Allah subhanahu khud dete hain
--------------------
Hazrat Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ek Aaraabi (Bedouin) RasoolAllah ﷺ ke paas aaya aur kahne laga Ya Rasool-Allah ﷺ mujhe khair (wale kalimat) seekha djiye
Rasool-Allah ﷺ ne uska hath pakad Kar farmaya kaho
سُبْحَان اﷲ، وَالْحَمْدُ لِلّٰہِ، وَلَا إِلٰہَ إِلاَّ اللّٰہُ، وَاللّٰہُ أَکْبَرُ
SubhanAllah Walhamdulilah Wa Lailaha illAllahu Wallahu Akbar
us aarabi ne in kalimat ko apni ungliyoh par geena aur sochta hua chala gaya phir wapas palta to Rasool-Allah ﷺ muskurane lage aur us se farmaya
tum kyu ek naummeed Shaks ki tarha fikr Kar rahe ho, Wo Aap Sallallahu Alahai Wasallam ke Qareeb Aaya aur kahne laga Ya Rasool-Allah ﷺ
SubhanAllah Walhamdulilah Wa Lailaha illAllahu Wallahu Akbar, Ye to Allah Subhanahu ke liye hai (yani uski tairf ke liye hain) mere liye kya hai Rasool-Allah ﷺ ne
farmaye Eh Aarabi
jab tum SubhanAllah kahoge to Allah Subhanahu farmayega tumne Sach Kaha,
jab tum Alhamdulillah kahoge to Allah Subhanahu farmayega tumne Sach Kaha,
jab tum La ilaha illAllah kahoge to Allah Subhanahu farmayega tumne Sach Kaha,
jab tum Allahu Akbar kahoge to Allah Subhanahu farmayega tumne Sach Kaha,
jab tum Allahummagfirli (yani Eh Allah mujhe bakhsh de) kahoge to Allah Subhanahu farmayega maine ye kar diya (yani tumhe baksh diya )
jab tum Allahummarhamni (yani eh Allah mujh par raham farma) kahoge to Allah Subhanahu farmayega maine ye kar diya (yani tum par raham kar diya)
aur jab tum Allahummarzuqni (yani Eh Allah mujhe rizq ata farma) kahoge to Allah Subhanahu farmayega maine ye kar diya ( yani tumhe rizq ata kiya)
Aaraabi ne Apne haath par Saat (7) ki geenti geeni phir wapas palat kar chala gaya
Al-Silsila-tus-Sahiha - 2872
-------------------
Comments
Post a Comment