Featured Post

Subah aur Sham aur Pareshani ke waqt padhne ki dua

Bismillahirrahmanirrahim

✦ Subah aur Sham aur Pareshani ke waqt padhne ki dua
------------------
Anas bin Malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne Fatima Radi Allahu Anha se farmaya Jab tum Subah ya shaam mein dakhil ho 
to to is tarah kaha karo 

يَا حَيُّ يَا قَيُّومُ بِرَحْمَتِكَ أَسْتَغِيثُ. وَأَصْلِحْ لِي شَأْنِي كُلَّه، وَلَا تَكِلْنِي  إلى نَفْسِي طَرْفَةَ عَيْنٍ أَبَدًا

✦ Ya Hayyu Ya Qayyum, Bi-Rahmatika Astagith, Waslih li Sha'ni Kullahu, Wala Takilni ila Nafsi tarfata Aaynin Abda 

✦  Eh Zinda Hamesha Qayam rahne wale teri rahmat ke zariye se faryad karta hu, mere tamam halat durust kar de aur kabhi bhi palak jhapakne ke barabar bhi mujhe 
mere nafs ke hawale na kar .
Al Silsila As sahiha, 2942

------------------

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day