Bismillahirrahmanirrahim
.
Mafhum-e-Hadith: ALLAH subhanahu ke zikr ki ahmiyat
Al Quran : Aur Allah ko bahut yaad karne wale mardo aur bahut yaad karne wali aurton ke liye (Allah ne) bakhshis aur bada Ajar tayyar kar rakha hai hai
Al Quran : Surah Al Ahzab (33) : Verse 35
.
Hazrat Abu Darda Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya
Kya main tumko aisa amal na batauu jo tumhare malik ( ALLAH) ke nazdeek achcha aur pakeeza hai aur tumhare darjat mein sabse buland , aur jo (ALLAH ki raah mein) sone aur chandi ko kharch karne se bhi afzal hai , Aur jo ALLAH ki raah mein dushmano se jihad karte huye unki gardane maarne aur wo tumharai gardane maare us se bhi behtar hai, Sahaba Radhi allahu anhuma na arz kiya kyu nahi ( jarur bataeeye), AAP Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya wo ALLAH ka zikr hai , Muaz bin jabal Radhi allahu anhu ne farmaya Allah ke azab se bachane wali zikr ilahi se badkar aur koi cheez nahi hai
Jamia Tirmidhi , vol 2, 1301 - Hasan
----------------------------------------------------------
Comments
Post a Comment