Featured Post

jo bhi haraf tum Surah Al Baqarah ki aakhri aayato se padhoge to uski maangi huyee cheez tumhe jarur milegi





Bismillahirrahmanirrahim

Hadith : jo bhi haraf tum Surah Al Baqarah ki aakhri aayato se padhoge to uski maangi huyee cheez tumhe jarur milegi
---------------------

رَبَّنَا لَا تُؤَاخِذْنَا إِن نَّسِينَا أَوْ أَخْطَأْنَا ۚ رَبَّنَا وَلَا تَحْمِلْ عَلَيْنَا إِصْرًا كَمَا حَمَلْتَهُ عَلَى الَّذِينَ مِن قَبْلِنَا ۚ رَبَّنَا وَلَا تُحَمِّلْنَا مَا لَا طَاقَةَ لَنَا بِهِ ۖ وَاعْفُ عَنَّا وَاغْفِرْ لَنَا وَارْحَمْنَا ۚ أَنتَ مَوْلَانَا فَانصُرْنَا عَلَى الْقَوْمِ الْكَافِرِينَ

✦ Al Quran: Eh hamare RABB agar hum bhul jaye ya galti kare to hamari giraft na farma , ✦ Eh hamare RABB hum par aisa bhari bojh na daal jaisa tune humse pahle ke logo par daala , ✦ Eh hamare RABB hum par wo bojh na daal jisko uthane ki hum mein taqat nahi, ✦ aur humein maaf kar aur humein bakhsh de aur hum par raham kar. ✦ Tu hi hamara kaarsaz hai , kaafiro ke muqable mein tu hamari madad farma
Surah Al-Baqara (2) Verse 286



✦ Hadith: Ek din jibril alaihi salam Nabi Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke paas baithe huye they ki ek bade zor ki aawaz darwaza khulne ki suni aur apna sir uthaya , to jibril alaihi salam ne kaha ki ye ek darwaza hai aasman ka jo aaj khula hai aur us se pahle kabhi nahi khula phir us se ek farishta utra jibril alaihi salam ne kaha ki ye farishta jo zameen par utra hai wo aaj se pahle kabhi nahi utra aur phir usne kaha ki khushkhabri ho aapko do nooro ki jo aapko inayat huye hain aur ye aapki siwa kisi aur nabi ko nahi mile ek surah fatiha hai aur dusri surah baqara ki aakhri aayatein , aur jo bhi haraf tum usmein se padhoge to uski maangi huyee cheez tumhe jarur milegi
Sahih Muslim, Jild 2, 1877

✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisne surah Al-Baqarah ki do aakhri aayatein raat mein parh li wo uskey liye kaafi ho jayegi (aafat se bachney ke liye)
Sahih Bukhari, jild  6, 5009
-----------------------------

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day