Bismillahirrahmanirahim
✦ Surah Al-Falaq Aur Surah An-Nas ki fazilat
--------------
✦ Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Jab Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam Bister par let te to Mu'auwidhat ( yani Surah Al-Falaq Aur Surah An-Nas) padh kar apne haathon par phoonkte aur dono haath apne jism par phertey.
Sahih Bukhari, Jild 7, 6319
✦ Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Jab Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam jab beemar ho jate to Mu'auwidhat (yani Surah Al-Falaq Aur Surah An-Nas) ki suratein padhkar usko apne upar dam karte phir jab Aap
Sal-Allahu Alaihi Wasallam ki takleef badh gayee to main un surato ko padhkar Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke haatho se barkat ki ummeed mein Aapke jism mubarak par pherti thi
Sahih Bukhari, Jild 7, 5016
✦ Abdullah bin khubayb Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Subah aur sham 3 baar Qul Huwallahu Ahad (Surah Ikhlas) aur Muauwazatain (Surah Al-Falaq Aur Surah An-Nas) padh liya karo , ye tumhe (har tarah ki pareshaniyo se bachao ke liye) kaafi ho jayegi
Sunan Abu dawud, Jild 3, 1643-Hasan
Acceleration Adconion Adform AdGear Adience Aditor Adjust AdKnowledge AdLabs Advantage Media Advertising Alliance
Advertising Technologies AdView Affinity Agenda Media Allrecipes.com Amazon India AMNET Answer Media ARAnet
AutoScout24
Comments
Post a Comment