Featured Post

Badan ke aafiyat (salamati) ki dua



Bismilahirrahmanirrahim 

✦ Badan ke aafiyat (salamati) ki dua
------------
✦ Abdul rahman bin Abu bakr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki unhone apne walid se pucha ki Abbu jaan main aapko har subah aur sham ko teen martaba ye dua padhte huye sunta hu 

اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي بَدَنِي اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي سَمْعِي اللَّهُمَّ عَافِنِي فِي بَصَرِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ
✦ Allahumma Aafini fi badani, Allahumma Aafini fi samaee, Allahumma aafini fi Bashari, La ilaha illa Anta.

✦ Ya Allah tu mere badan mein aafiyat ata farma , Ya Allah tu mere kaano mein aafiyat ata farma ,Ya Allah tu meri nigaho mein aafiyat ata farma tere siwa koi maabud nahi

to unhone kaha ki maine Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ko yahi dua isee tarah padhte huye suna hai aur mujhe pasand hai ki main unki sunnat par amal karta rahu
Sunan Abu Dawood, Jild 3, 1649-Hasan
-----------

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day