Featured Post

jab koi is naam se us (Allah) se maangta hai to Wo deta hai....

Bismillahirrahmanirrahim

★ Hadith:  jab koi is naam se us (Allah) se maangta hai to Wo deta hai....
-------------------
★ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek shaksh ko ye dua karte huye suna 

اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ أَنِّي أَشْهَدُ أَنَّكَ أَنْتَ اللَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ الأَحَدُ الصَّمَدُ 
الَّذِي لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ وَلَمْ يَكُنْ لَهُ كُفُوًا أَحَدٌ
Allahumma inni asaluka 
Anni Ashhadu annaka antallahu la ilaha illa ant, 
Al Ahadus-Samad , Al-ladhi lam yalid wa lam yulad, 
wa lam yakullahu kufuwan Ahad 

★ to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya tune Allah ko aise naam se pukara hai ki jab koi is naam se us (Allah) se maangta hai to (Wo Allah) deta hai aur jab iske zariye dua ki jati hai to Qubul ki jati hai 

★ Tarjuma: YA ALLAH , main tujhse maangta hu, Main gawahi deta hu ki tu hi ALLAH hai , tere siwa koi mabud nahi,
Al-Ahad (Ek) hai , As-Samad (Beniyaz) hai, (tu) Wo hai jiski koi Aulad nahi aur (tu) na kisi ki aulad hai,
aur (tu) wo hai jiske barabar koi nahi hai 
Sunan Abu Dawud, Jild 1, 1480-Sahih
---------------

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day