Featured Post

Subah ke waqt padhne ka azkar

Bmillahirrhamnirrahim

✦ Subah ke waqt padhne ka azkar
--------------
Hazrat Abdullah bin Masud Radi Allahu Anhu se rivayat hai Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam Jab Subha Karte to Ye dua  farmate

أَصْبَحْنَا وَأَصْبَحَ الْمُلْكُ لِلَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ
لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَحْدَهُ لَا شَرِيكَ لَهُ،
لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ
رَبِّ أَسْأَلُكَ خَيْرَ مَا فِيْ هَذَا الْيَوْمِ  وَخَيْرَ مَا بَعْدَهُ
وَأَعُوْذُ بِكَ مِنْ شَرِّ مَا فِي هَذَا الْيَوْمِ  وَشَرِّ مَا بَعْدَهُ
رَبِّ أَعُوْذُ بِكَ مِنَ الْكَسَلِ، وَسُوءِ الْكِبَرِ
رَبِّ أَعُوْذُ بِكَ مِنْ عَذَابٍ فِيْ النَّارِ وَعَذَابٍ فِيْ الْقَبْرِ
--------------
✦ Asbahna wa Asbahal-mulku Lillah, Wal-hamdullilah, 
wa la ilaha illallah, wahdahu la sharika lahu
Lahul-mulku wa lahul-hamdu, wa huwa `ala kulli shai'in qadir. 
Rabbi Asa'luka khaira ma fi hadhihil-yaum, wa khaira ma ba`daha, 
wa Audhubika min sharri hadhihil-yaum, wa sharri ma ba`daha, 
wa a`udhu bika minal-kasali wa sueel-kibar, 
wa a`udhu bika min Adhabin-naar, wa Adhabil-qabr
--------------
✦ Ham aur Sara Mulk Subha Ke Waqt Allah Subhanahu Ka hua,  Sari Hamd Allah Ke liye hai,
Allah Ke Siwa Koi Ibadat ke layaq nahi Wo akela hai Uska koi Sharik nahi 
sari badshahat ussi ki hai , sari tarif bhi usee ke liye hai aur wo har Cheez par puri qudrat rakahne wala hai 
Eh Mere RABB Mein tujhse us bhalayi Ka talabgar hu  Jo iss din Mai hai aur Jo iss ke baad hai 
Aur  Mein tujhse Panah mangta hu  us burayee se Jo iss din Mai hai aur Jo iss ke baad hai 
Eh Mere RABB Mein tujhse Panah mangta hu susti se aur budhape ki kharabi se 
Eh Mere RABB Mein tujhse Panah mangta hu Jahannam ke azab se aur Qabr  ke azab se
Sahih Muslim, Jild 6, 6907
------------

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day