Featured Post

Al Quran : Kah do Allah ke siwa jinka tumhe ghamand hai unhe pukaro, wo na to aasman hi mein zarra bhar ikhtiyar rakhtey hain

Bismillahirrahmanirrahim

★ Al Quran : Kah do Allah ke siwa jinka tumhe ghamand hai unhe pukaro, wo na to aasman hi mein zarra bhar ikhtiyar rakhtey hain aur na zameen mein aur na unka unmein kuch hissa hai aur na unme se koi Allah ka madadgar hai
Surah Saba (34) Verse 22

★ Hadith: Anas bin malik radi allahu taala anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Allah taala Qayamat ke din Dozakh ke sabse kam Azab pane wale se puchega agar tumhe zameen ki sari cheezein mayassar ho to kya tum usko fidye mein(azab se nijat pane ko) de do ge wo kahega ki haan, ALLAH subhanahu farmayega ki maine tumse is se bhi aasan cheez ka us waqt mutalba kiya tha jab tum Aadam ki peeth mein they ki mere saath kisi ko Sharik na karna lekin tumne inkar kiya aur na mana aur shirk hi kiya
Sahih bukhari, Vol8, 6557 

★ Al Quran: Beshak Allah usko nahi bakhshta jo uska sharik kare aur shirk ke siwa dusre gunah jise chahe bakhsh deta hai aur Jisne ALLAH ka sharik thahraya usne bada hi gunah kiya 
Surah An-Nisa (4) Verse 48 

------------------

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day