Featured Post

Tum par mera tareeqa aur mere hidayat yafta khulfa ka tareeqa lazim hai


Bismillahirrahmanirrahim
✦ Hadith: Tum par mera tareeqa aur mere hidayat yafta khulfa ka tareeqa lazim hai
--------------
✦ Al Quran : Eh Imaan walo ALLAH aur uske Rasool (Sal-Allahu Alaihi Wasallam) ki farmabardari karo aur un logon ki bhi jo tum mein se hakim hain , aur agar kisi baat mein tum mein ikhtilaf ho jaye to usko ALLAH aur uske Rasool (Sal-Allahu Alaihi Wasallam ) ki taraf rujoo karo , ye bahut achchi baat hai aur anjam ke lihaz se bahut behtar hai
Surah An-Nisa (4) Verse 59


✦ Al-Irbad bin Sariyah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne aisee taqreer farmayee jis se aankhon se Aansoo bah nikley aur dil kaanp uthey, humne arz kiya Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ye to rukhsat karne wale ki naseehat hai Aap humse kisi cheez ka ahad le le, Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya main tumko aisee hamwar zameen par chorh ja raha hu jiske din aur raat barabar hain is se wo hatega jo Halaq hone wala hoga jo tum mein se zinda rahega wo bahut zyada ikhtilaf dekhega tum par mera tareeqa aur mere hidayat yafta khulfa ka tareeqa lazim hai isko daanton se mazbut pakad lena aur tum par ki Ita’at ameer lazim hai chahe wo habshi ghulam ho kyunki momeen nakel daale huye oont ki tarah hota hai jidhar chalaya jata hai ita’at karta hai
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 43 -Sahih
--------------

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day