Featured Post

jo jaanbujh kar farz namaz chorh de to Allah ke zimme se bari ho gaya

Bismillahirrahmanirrahim
✦ Hadith: jo jaanbujh kar farz namaz chorh de to Allah ke zimme se bari ho gaya
------------------
✦ Abu darda Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki mere mehboob Sallallahu Alaihi wasallam ne mujhe waseeyat farmayee ki Allah ke saath kisi ko sharik na karna chahe tumhare tukde tukde kar diye jaye ya tumhe aag mein jala diya jaye Aur farz namaz ko jaan bujh kar kabhi mat chorhna kyunki jo jaanbujh kar farz namaz chorh de to Allah ke zimme se bari ho gaya (yani ab wo Allah ki panah mein nahi) aur sharab na peena kyunki sharab har burayee ki kunji (key) hai 
Sunan Ibn Maja, Jild 3, 915-Hasan



✦ Beshak Namaz apne muqarrar waqto mein momeeno par farz hai
Al Quran : Surah An-Nisa (4) , #103

✦ Hadith: Abdullah bin buraidah Radi-Allahu-Anhu ne apney walid se rivayat kiya ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya Hamare aur unke (munafiqon ke) darmiyan Ahad Namaz hai to jisne Namaz ko chorh de usney kufr kiya. 
Sunan Ibn Majah, jild 1 , # 1079 -Sahih)

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day