Featured Post

Al Quran : Nabi (Sal-Allahu Alaihi wasallam) aur Musalmano ke liye ye baat munasib nahi ki mushriko ke liye bakhshish ki dua kare chahe wo unke rishtedar hi kyu na ho



Bismillahirrahmanirrahim 

✦ Al Quran : Nabi (Sal-Allahu Alaihi wasallam) aur Musalmano ke liye ye baat munasib nahi ki mushriko ke liye bakhshish ki dua kare chahe wo unke rishtedar hi kyu na ho jabki un par zahir ho jaye ki wo dozakhi hain
Surah At-Tauba (9), Aayat 113

Saeed bin musaib ne apne walid Musaib Radi Allahu anhu se rivayat kiya ki jab Abu Talib ki wafaat ka waqt qareeb aaya to Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam un ke paas tashreef laaye. dekha to un ke paas is waqt Abu jahal bin hisham aur Abdulah ban abi Umayya bin Mughira mojood they.
Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne unse farmaya ke chacha ! aap aik kalma «La ilaha ilallah » ( Allah ke siwa koi mabood nahi) keh dijay taake mein Allah subhanahu ke whaan is kalme ki wajah se aap ke haq mein gawahi de sakun. is par Abu jahal aur Abdulah ban Abi Umayya bin Mughira neh kaha Abu Talib ! kya tum apne baap Abdul Mutlib ke deen se phir jao ge? Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam barabar kalma islam un par paish karte rahe. Abu jahal aur Ibn abi Umayyaia bhi apni baat dohrate rahay. Aakhir Abu Talib ki aakhri baat yeh thi ke woh Abdul Mutlib ke deen par hain. unhon neh La ilaha ilallah kehne se inkaar kar diya phir bhi Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke mein unke liye astaghfar karta rahon ga. jab tak ki mujhe mana nah kar diya jaye is par Allah taala neh ye aayat nazil farmayee

كَانَ لِلنَّبِيِّ وَالَّذِينَ آمَنُوا أَن يَسْتَغْفِرُوا لِلْمُشْرِكِينَ وَلَوْ كَانُوا أُولِي قُرْبَىٰ مِن بَعْدِ مَا تَبَيَّنَ لَهُمْ أَنَّهُمْ أَصْحَابُ الْجَحِيمِ
Tarjumah: Nabi (Sal-Allahu Alaihi wasallam) aur Musalmano ke liye ye baat munasib nahi ki mushriko ke liye bakhshish ki dua kare chahe wo unke rishtedar hi kyu na ho jabki un par zahir ho jaye ki wo dozakhi hain Surah At-Tauba (9), Aayat 113
( Sahih Al Bukhari, Jild 2,1360)
---------------------------------

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day