#WhoisMuhammad ( Sal-Allahu Alaihi Wasallam )
Muhammad Sal-Allahu Alaihi Wasallam wo hain
1. Jinhone jung ka duarn bhi aurton aur bachcho ko qatl karne se mana kiya.
Sahih Bukhari, Vol 4, 3014
2. Jinhone farmaya ki jo shaksh kisi aisee jaan ko maar dale jiska ahad kar chuka ho (uske Jaan ki amaan de chuka ho) to phir wo jannat ki khushbu bhi nahi paa sakega
Sahih Bukhari, Vol8, 6914
3. Jinhone farmaya ki Jab do shaksh gaali galoch kare to dono ka gunaah usi par hoga jo Ibtida (shurooaat) karega jab tak mazloom zyadati na karey
Sahih Muslim, Vol 6, 6591
4. Jinhone farmaya ki Main us shakhs ke liye jannat ke atraf mein ek ghar ki zamanat deta hu jo haq par hone ke bawajud jhagda chodh de
Sunan Abu Dawud, Vol 3, 1372-Hasan
5. Jinhone farmaya ki Imaan ke aitbar se Kamil Momeen wo hain jinke Akhlaq behatreen hain Sunan Abu Dawud, Vol 3 ,1257-Sahih
#WhoisMuhammad Sal-Allahu Alaihi Wasallam
6. Jinhone ALLAH ka ye farmana sunaya ki Aur agar koi Mushrik tumse panaah maange to usey panaah de do , yahan tak ki ALLAH ka kalam suney phir usey uskey aman ki jagah pahucha do ye isliye ki wo log na samajh hain
Al Quran , Surah At-Tauba (9) verse 6
7. Jinhone ALLAH ka ye farmana sunaya ki Maa baap (parents) ke saath bhalaii (neki) kartey raho aur agar tumharey samney unmein se ek ya dono budhapey ko pahunch jaye to unhey UFF bhi na kaho aur na unhey jhidako aur unsey adab se baat karo
Al Quran , Surah Al-Isra (17), Verse 23-24
8. Jinhone farmaya ki Allah subhanahu ki raza walid ( ya waldein) ki khushi mein hai aur Allah subhanahu ka gussa Walid ( ya waldein) ki narazgi mein hai
Jamia Tirmidhi, Vol 1, 1960 ( Hasan)
9. Jinhone farmaya ki jo shaksh Allah aur uskey Qayamat ke din par Imaan rakhta ho wo apney padosi ko takleef na pahuchaye.
10. Jinhone farmaya ki wo shaksh jannat mein nahi jayega jiska humsaya (padosi) uskey makar-o-fasad (burey kaamo) se mehfooz na ho.
#WhoisMuhammad Sal-Allahu Alaihi Wasallam
11. Jinhone ye kahkar logo ko imandari sikhayee ki jab Allah kisi bande ko kisi jagah ke logon ka ka haakim(ruler) banata hai aur wo Imandari ke saath uski hifazat nahi karta to wo jannat ki khushbu bhi nahi payega.
Sahih Bukhari, Vol 8, 7150
12. Jinhone Yateemo ki madad karne ko kaha aur farmaya Yateem ki khabargiri karne wala (yani yateem ka kafeel) chahey uska azeez ho ya gair ho,main aur wo jannat mein saath honge -Sahih Muslim, 7469
13. Jinhone Rishtedaro ke saath achcha suluq karne ko kaha aur farmayaki jo ye chahe ki uski rozi bad jaye aur uski umar lambi ho jaye usey chahiye ki sila-rahmi (rishteydaron ke saath achcha suluq) karey , Qataa Rahmi karne wala (Rishtey todney wala) jannat mein nahi jayega.- Sahih Bukhari, ,5984, 5985
14. Jinhone Logo par rahma karne ka hukmdiya aur farmaya Tum zameen walo par raham karo tum par wo (ALLAH) raham karega jo Aasman mein hai
Sunan Abu Dawud, Vol 3, 1504-Sahih
15. Jinhone Jaanwaro ke saath bhi neki ka hukm diya aur farmaya Tumhey har jaandar (living being) ke saath Neki karney ka sawab milta hai
Sahih Bukhari, Vol 7, 6009
=============================
Comments
Post a Comment