Featured Post

Mafhum-e-Hadith: Pahanne ke Zewraat ki zakat



Bismillahirrahmanirrahim
✦ Mafhum-e-Hadith: Pahanne ke Zewraat ki zakat
---------------
✦ Amr ibn al-'As Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Ek Aurat Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke pass aayee uski beti bhi uskey saath thi aur uski beti ke haath mein soney (gold) ke do bade bade kangan they Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne pucha kya aap in kangano ki zakat dete ho ? usney kaha nahi , Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya kya aapko ye pasand hai ki Qayamat ke din Allah aapko Aag ke kangan pahnaye ye sunkar usne usi waqt kangan utar diye aur aapki khidmat mein pesh kartey huye kaha ki ye Allah aur uskey Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke liye hai
Sunan Abu Dawud, Jild 1, 1550-Hasan
✦ Abdullah bin shaddad Radi allahu anhu se rivayat hai ki hum log Aisha Radi allahu anha se paas gaye wo kahne lagi merepaas Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam aaye Aapne mere haath mein chandi ki anguthiyan dekhi aur farmaya , Aisha ye kya hai ? maine arz kiya ki ye maine isliye banwayee hai ki aapke liye banao singar karu , Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne pucha , kya aap inki zakat ada karti ho maine kaha nahi , ya jo ALlah ko manzur tha kaha Aap Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya ye aapko jahannam mein je jaane ke liye kaafi hai (agar aap zakat nahi dogi to)
Sunan Abu dawud, Jild 1, 1552-Sahih

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day