Bismillahirrahmanirrahim
*Salat-ul-tasbeeh parhne se agle , pichle , purane , naye, galti se kiye huye , jaan bujh kar kiye huye, chote, bade, chup par kiye huye aur khullam khullah kiye huye sab gunaah maaf*
--------------------
Hazrat Ibn Abbas radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Hazrat Abbas se farmaya mere chacha kya main aapko ek atiya na karu ? kya Ek hadiya na du ? kya ek Tohfa pesh na karu ? kya main aapko aisa amal na batauu ki jab aap isko karengey to aapko 10 faydey hasil hongey
Yani Allah taala aapke Agle , pichle , purane , naye, galti se kiye huye , jaan bujh kar kiye huye, chote, bade, chup par kiye huye aur khullam khullah kiye huye sab gunaah maaf farma denge.
Wo Amal ye hain ki Aap 4 rakaat ( Salatul Tasbeeh) padhe aur har rakaat mein surah fatiha aur dusri koi surat padhe jab aap pahli Rakaat mein Qirat se farig ho jaye to rukun se pahley 15 baar ye pad le
سبحان الله والحمد لله ولا اله الا الله والله أكبر
Subhnallahi Walhamdulillahi Wa la ilaha illallahu wallahu Akbar
Phir ruku kare aur ruku mein bhi yahi kalmaat 10 baar padhe
Phir ruku se uth kar qoma mein bhi 10 baar yahi kalmaat padhe,
Phir sazde mein jaye aur 10 baar yahi kalmat padhe,
Phir sazde mein uth kar jalsey mein 10 baar yahi kalmaat kahey,
Phir dusrey sazdemein bhi yahi kalmaat 10 martaba kahey
Phir dusrey sazde ke baad bhi khadey honey se pahley 10 martaba yahi kalmaat kahey.
Charon rakaat isi tarah padhe aur is tarah se har rakaat mein ye kalmaat 75 (15+10+10+10+10+10+10) baar kahe
(Mere chacha) Agar aapse ho sake to rozana ye namaz ek martaba padha kare ,
Agar rozana na pad sako to Jumaa ke din pad liya karo,
Agar aap ye bhi na kar sako to Mahiney mein ek baar pad liye karo,
Agar aap ye bhi na kar sako to Saal mein ek baar pad liye karo,
Agar ye bhi na ho sakey to zindagi mein ek baar par liy karo.
Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1284 - Sahih
Sunan Ibn majha - Vol 1 , 1387 - Hasan
Comments
Post a Comment