Featured Post

Aayat Al Kursi ki fazilat


 قَالَ َرَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّمَ
قَالَ :  سُورَةُ الْبَقَرَةِ فِيهَا آيَةٌ سَيِّدَةُ آيِ الْقُرْآنِ ، لا تُقْرَأُ فِي بَيْتٍ وَفِيهِ شَيْطَانٌ ، إِلا خَرَجَ مِنْهُ آيَةُ الْكُرْسِيِّ 
المستدرك على الصحيحين ٢٦٥٢-صحیح 

قَالَ لِي إِذَا أَوَيْتَ إِلَى فِرَاشِكَ فَاقْرَأْ آيَةَ الْكُرْسِيِّ مِنْ أَوَّلِهَا حَتَّى تَخْتِمَ ‏{‏اللَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَىُّ الْقَيُّومُ‏}‏ وَقَالَ لِي لَنْ يَزَالَ عَلَيْكَ مِنَ اللَّهِ حَافِظٌ وَلاَ يَقْرَبَكَ شَيْطَانٌ حَتَّى تُصْبِحَ،
صحیح بخاری ٢٣١١ 

 قَالَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : مَنْ قَرَأَ آيَةَ الْكُرْسِيِّ فِي دُبُرِ كُلِّ صَلَاةٍ مَكْتُوبَةٍ لَمْ يَمْنَعْهُ مِنْ دُخُولِ الْجَنَّةِ إِلَّا أَنْ يَمُوتَ 
السلسلہ صحیحہ حدیث ٧٤٩-صحیح 
الطَّبَرَانِيُّ فِي الْكَبِيرِ  ٦٥٣٢ حسن 
صحيح الجامع  ٦٤٦٤ صحیح


Bismillahirrahmanirrahim

✦ Aayat Al Kursi ki fazilat
--------------------
✦ Hadith 1:  Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jo koi isko (Ayat Al kursi ko) subha padh lega to sham tak shaitan se mehfooz rahega aur jo sham ko padh lega wo subah tak shaitan se mehfooz rahega 
Al-Hakim , Al Targeeb wa Al Tarheeb, 1/273- Sahih 

✦ Hadith 2:  EK aur hadith ka mafhum hai ki Jab bistar par leto to Aayat al kursi ( Allahu La ilaha illa huwa Alhayyu Al Qauul aakhir tak ) poori padh lena . (iske padhne se) Allah subhanahu ki taraf se tum par ek nigaran farishta muqarrar rahega. aur subah tak shaitan tumare qareeb bhi nahi aa sakega. 
Sahih Bukhari, Jild 3, 2311

✦ Hadith 3:  Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jis shakhs ne har farz namaz ke baad Aayat Al kursi padhi to Jannat aur uske darmiyan maut ke siwa koi aur cheez rukawat nahi (Yani maut ke baad usko Jannat naseeb hogi)
Al-Silsila-As-Sahiha Hadees – 749-Sahih
Tabrani Al Kabeer, 6532-Hasan
Sahih Al Jame , 6464-Sahih
-----------------------
-----------------------
✦ Hadith 4:  Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya  Surah baqarah mein ek aisee aayat hai jo ki Quran ki sari aayato ki sardar hai wo jis ghar mein bhi padhi jati hai usmein se shaitan nikal jata hai , wo Aayat  al kursi hai
Al Mustadrak Sahihain , 2652-Sahih
----------------------

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day