Bismillahirrahmanirrahim
✦ Part 19 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
✦ 1. Al-isra wa Al-Mairaj
--------------
Abbas bin malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Malik Radi Allahu Anhu ne kaha ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne unse shab e mairaj ka waqiya bayaan kiya. Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ki main hatim me leta hua tha.
Baaz dafa qatada ne hatim ki bajaye hajar Bayaan kiya ki mere pass ek sahab ( jibrail Alaihi Salam ) aaye aur mera sina chaak kiya , maine hazrat Anas se suna , unhone bayan kiya ki Aap Sallallahu Alaihi wasallam ke mubarak sine ko uper se naaf tak chaak kiya ,fir aapne farmaya mera dil nikala aur ek sone ka tasht laya gaya Jo imaan se bhara hua tha ,us se mera dil dhoya gaya aur pahle ki tarha rakh diya gaya.
✦ is k baad ek janwar laya gaya , Jo ghodhe se chota aur ghadhe se bada tha aur safed,Hazrat Anas Radi Allahu Anhu se poocha Abu Hamzah ! Kya wo burraaq tha ? Aapne farmaya " Haan". Us ka her qadam uski nazar ki inteha tak padhta tha , phir Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ki mujhe us per sawaar kiya gaya aur Jibraeel Alaihi Salam mujhe le kar chale aur aasamane duniya per pohchein to darwaza khulwaya . Poocha gaya kaun sahab hai ? Unhone bataya ki jibraeel Alaihi salam, Poocha gaya aur aapke saath kaun hai? Aapne farmaya ki Hazrat Muhammed Sallallahu Alaihi wasallam . poocha gaya , kya unhe bulane ki liye aapko bheja gaya tha? Unhone jawaab diya " haan" .. is par aawaaz aayee unhein khush aamadid ! Kya hi mubaarak aane wale hain wo, Aur darwaza khol diya .
Sahih Bukhari, Jild 5, 3887
-------------------
Comments
Post a Comment