Featured Post

Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam ✦ 4-Al-isra wa Al-Mairaj ✦ Part 22 -

Bismillahirrahmanirrahim



✦ Part 22 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

✦ 4-Al-isra wa Al-Mairaj 

--------------

✦ …Phir jibril Alaihi Salam mujhe le kar saatwe aasmaan (7th) ki taraf gaye,

aur darwaza khulwaya to Poucha gaya kaun sahab hai ? Unhone bataya ki Jibril Alaihi salam, Pucha gaya aur aapke saath kaun hai? Aapne farmaya ki Hazrat Muhammed Sallallahu Alaihi wasallam, Pucha gaya , kya unhe bulane ki liye aapko bheja gaya tha? Unhone jawaab diya haan .. is par aawaaz aayee unhein khush aamadid ! Kya hi mubaarak aane wale hain wo, Mai jab ander gaya to Ibrahim Alaihi Salam tashrif rakhte the. Jibril Alaihi Salam ne farmaya ye Aapke jadde amjad hain inhein salaam kijiye. Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya ki maine unko salaam kiya to unhone jawab diya aur farmaya Khush aamdeed neik nabi aur neik bete.



✦ Phir sidratul muntaha ko mere samne kar diya gaya Maine dekha ki uske phal (fruit) muqam e hajar ki matko ki tarah (bade bade) the aur uske patte hathiyon k kaan ki tarha they. Jibraeel Alaihi Salam ne farmaya ye sidratul muntaha hai. Wahan maine chaar nahrein dekhin do batini aur do zahiri.Maine poocha Eh jibril Alaihi Salamye kya hain? Unhone bataya Jo do batini nehrein hai wo jannat se talluq rakhti hain aur do zahiri nehrein neel aur furaat hain.



✦ Phir mere samne baitul- maamoor ko laya gaya waha mere samne ek glass me sharaab , ek me doodh aur ek me shahed laya gaya. 

Maine doodh ka glass le liya to jibrail Alaihi Salaam ne farmaya ye hi fitrat hai aur aap is par qayam hai aur aap ki ummat bhi 

phir mujh per rozana pachaas (50) namazein farz ki gayee mai wapas hua aur Musa Alaih Salaam ke paas se guzra to unhone poocha kis cheez ka aapko hukm hua ? Maine kaha ki rozana pachaas namazon ka", Musa Alaihi Salaam ne farmaya lekin aapki ummat me itni taaqat nahi hai isse pahle mera wasta logon se padh chuka hai aur bani israeel ka mujhe talkh tajurba hai, isliye aap apne RAB ke huzur dobara jaiye 

Sahih Bukhari, Jild 5, 3887

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day