Featured Post

Hadith: jo ek din Roza rakhe Allah ki raah mein to Allah uske munh (face) ko sattar (70) baras

Bismillahirrahmanirrahim 

✦ Hadith: jo ek din Roza rakhe Allah ki raah mein to Allah uske munh (face) ko sattar (70) baras ki raah tak dojakh se dur kar deta hai 
----------
✦ Abu Said khudri radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya ki jo ek din Roza rakhe Allah ki raah mein to Allah uske munh (face) ko sattar 70 baras ki raah tak dojakh se dur kar deta hai 
Sahih Muslim , Vol3, 2713 

✦ Aisha Radhi allahu anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam peer (monday) aur jumairat (Thursday) ko khas taur se roza rakhte they 
Jamia Tirmidhi , Vol 1, 723 - Hasan

✦ Note: Shaban ka barkato ka mahina hai aur kal peer (monday) hai aur iska roza rakhna sunnat hai , agar aap ye chahte hain ki Allah aapko 70 baras ki raah tak us dozakh se dur kar de to kal roza rakhne ki koshish kijiyega, kya pata humko ramzan naseeb ho ya na ho isliye safe side shaban ke bhi thode roze rakh lijiye aur dozakh ki aag ko apne se dur kijiye - jazakallahu khairan 
----------

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day