Featured Post

Mafhum-e-hadith: Jisne Shaban mein ek bhi roza nahi rakha wo Ramazan ke baad iske badle kein do roze rakhe




Bismillahirrahmanirrahim

✦ Mafhum-e-hadith: Jisne Shaban mein ek bhi roza nahi rakha wo Ramazan ke baad iske badle kein do roze rakhe
-------------------
✦ Aayesha radi allahu anha se rivayat hai ki maine Rasool-Allah Sallallahu-Alaihi-Wasallam ko Ramadhan ke siwa kisi bhi mahine ke sare roze rakhte huye unhe nahi dekha aur kisi mahine mein Shaban se ziyada Roze rakhte nahi dekha 
Sahih Muslim , Vol3, 2721

✦ Imran bin Husain Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne unse farmaya tumne shaban ke beech mein kuch roze rakhe unhone kaha nahi to Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya ki tum (ramadhan ke) iftar ke din purey kar lo to ( iske badle mein) do roze rakhna
Sahih muslim, Vol3 ,2751

✦ Imran bin Husain Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne ek shakhs se farmaya ki tumne is mahine (yani shaban ) ke beech mein roze rakhe isne kaha nahi to Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya tum jab ramadhan ke rozo se farig ho jao to 2 rozey rakh lo iske badle mein
Sahih muslim, Vol3, 2752 
------------

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day