Featured Post

Hadith: Shaban ka mahina wo mahina jiski barkat se log gafil hain



Bismilahirrahmanirrahim 

✦ Hadith: Shaban ka mahina wo mahina jiski barkat se log gafil hain
---------
✦ Usamah bin Zaid Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki unhone Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam se daryaft kiya ki Ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam main aapko Shaban ke mahine ke alawa kisi aur mahine mein is tarah se (pabandi ke saath) roze rakhte huye nahi dekhta , Aap Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya ye mahina wo mahina jiski barkat se log gafil hain , aur Rajab aur Ramzan ke mahine ke beech mein ye wo mahina hai jismein aamal Allah subhanahu ke paas uthaye jaate hain aur meri khwahish hai ki mera amal us waqt pesh ho jis waqt mere roza ho
Sunan Nasaii, Jild 2, 268-Hasan

---------

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day