Featured Post

Part 7 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Bismillahirrahmanirrahim

Part 7 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Hazrat umar Radhi allahu anhu ne jahiliyat ke zamane mein kahin(foreteller) rahe ek shakhs se pucha ki tumhari jinniya (female Jinn) jo khabrein tumhare pass lati thi uski sabse hairat angez koi baat batao Us shakhs ne kaha ki ek din mein bazar mein tha ki jinniya mere pass aayee maine dekha ki wo ghabrayee huyee thi phir usne kaha ki jinno ke baare mein tumhe malum nahi , jabse unhe aasmani khabro se rok diya gaya hai wo bahut dare huye hain, mayus ho rahe hain aur oonto ke palan ki kamliyon mein mil gaye hain.

Hazrat Umar Radhi allahu anhu ne kaha ki tumne sach kaha ek baar main bhi in dono buton ke darmiyan soya hua tha ki ek shakhs ek bachda ( gaay ka baccha) laya aur is boot ke pass usne zabah kar diya, phir is qadar zor ki aawaz aayee ki maine aisee tez cheekh kabhi nahi suni thi us aawaz ne kaha ki eh dushman ek baat batata hu jis se murad (hidayat) mil jaye ek bada khushmijaz shaksh yu kahta hai ki La ilaha illallah (Allah ke siwa koi ibadat ke layaq nahi) ye sunte hi tamam log ( jo waha mojud they) chonk gaye ( aur waha se chal diye) maine kaha main to nahi jauunga, dekhta hu iske baad kya hota hai , phir yahi aawaz aayee ki eh dushman ek baat batata hu jis se murad (hidayat) mil jaye ek bada khushmijaz shaksh yu kahta hai ki La ilaha illallah (Allah ke siwa koi ibadat ke layaq nahi) main khada hokar chal diya phir kuch waqt ( ya din) ke baad logo ne kaha ki ye Allah ke Rasool Sal-Allahu Alaihi Wasallam hai ( jo tashreef la chuke hain) 
Sahih al-Bukhari Vol 5, 3866

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day