Bismillahirrahmanirrahim
Mafhum-e-Hadith: Peer (monday) aur jumairat (Thursday ) ko roza rakhna sunnat hai
.
Hazrat Abu Qatada Ansari radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alalhi wasallam se pucha Peer ke din ( yani monday) ke roze ke bare mein (yani aap us din roza kyun rakhte ho) to Aap Sallalalahu alalhi wasallam ne farmaya ki main us din Paida hua tha aur us din mujh par wahi nazil huyee thi.
Sahih Muslim, Vol 3, 2747
Aisha Radhi allahu anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam peer (monday) aur jumairat (Thursday ) ko khas taur se roza rakhte they
Jamia Tirmidhi , Vol 1, 723 - Hasan
Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya peer (monday) aur jumairat (Thursday ) ko bande ke aamal ALLAH ki baargah mein pesh kiye jate hain , aur mujhe ye pasand hai ki mere aamal jab ALLAH ki baargah mein pesh ho to main roze se hu
Jamia Tirmidhi , Vol 1, 725 - Hasan
------------------------------------------
Comments
Post a Comment