Bismillahirrahmanirrahim
Part 6 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam
Anas in malik Radhi allahu anhu ne Jaber bin Abdullah Radhi allahu anhuma se rivayat kiya ki Masjid-e-nabwi ( Sal-Allahu Alaihi Wasallam) ki chat khajur ke tano par banayee gayee thi
Nabi kareem Sal-Allahu Alaihi Wasallam jab khutbe ke liye tashreef late to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ek taney ke paas khade ho jate lekin jab aapke liye minbar bana diya gaya to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam us minbar par tashreef le gaye to humne us taney se is tarah rone ki aawaz suni jaise wiladat ke waqt oontni ki aawaz hoti hai , phir Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne uske kareeb aakar us par haath rakha to wo chup hua
Sahih Bukhari, Vol 5, 3583
Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Main Muhammad hu aur Main Ahmad hu aur main Mahi hu yani meri wajah se ALLAH taala kufr ko mitayega aur Hashir hu yani log mere qadmo par hashr (ikaththey) kiye jayengey aur Aaqib hu yani mere baad koi nabee nahi hai
Sahih Muslim, Vol 6, 6105
Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya main Aulad Aadam ka sardar hunga Qayamat ke din. aur sabse pahley mein Shafaat karunga aur sabse pahley meri shafaat Qubul hogi
Sahih Muslim, Vol 6, 5940
Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya har nabee ne kuch cheezein maangi, ya farmaya ki har Nabee ko ek (khas) dua di gayee yani jo bhi unhoney dua maangi wo Qubul ki gayee lekin maine apni Dua Qayamat ke din apni ummat ki shfaat ke liye mehfooz rakhi huyee hai.
Sahih Bukhari, vol 7, 6305
--------------------------------------------------
Comments
Post a Comment