Featured Post

Hazrat Umar Radi Allahu Anhu ne taraweeh ko jamaat ke saath shuru kiya



Bismillahirrahmanirrahim
✦ Hazrat Umar Radi Allahu Anhu ne taraweeh ko jamaat ke saath shuru kiya 
--------------------------
✦ Abdul Rahman bin Abdul Qari Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki main Hazrat Umar bin Khattab Radi Allahu Anhu ke saath Ramadan ki ek raat masjid ko gaya sab log mutfarriq aur muntashir they , koi akela namaz pad raha tha aur kuch kisi ke peechey khadey huye they is par umar Radi Allahu Anhu ne farmaya ki mera khayal hai agar mein tamam logo ko ek Qari ke peechey jama kar du to zyada achcha hoga , aapney ye soch kar Abi bin kaab Radi Allahu Anhu ko unka imam bana diya phir mein ek raat jab main inke saath phir se nikla to dekha ki log apney imam ke peechey namaz ( taraweeh) pad rahey they , hazrat Umar Radi Allahu Anhu ne farmaya ye naya tareeqa behatr aur munasib hai jismein ye log so jate hain us se behtar aur afzal hai jsimein ye namaz padte hain
Sahih Bukhari, Vol 3, 2010
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya tum par mera tareeqa aur mere hidayat yafta khulfa ka tareeqa lazim hai isko daanton se mazbut pakad lena
Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 43 -Sahih
-----------

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day