Bismillahirrahmanirrahim
Al Quran : Kah do main subah ke RAB ki panah mangta hu,
uski makhluqat ki burayee se aur andheri raat ki buraye se jab wo cha jaye ,
aur girhon ( Knots) mein phunkne waliyon ki burayee se
aur hasad karne wale ki burayee se jab wo hasad kare
Al Quran , Surah Al-Falaq (113) , verseb 1-5
.
Hadith: Umm Aayesha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam jab apne bistar par aaram farmane ke liye jate to apne dono haathon ki hatheliyon par Surah-Al-Ikhlas, Surah-Al-Falaq and Surah-An-Naas Padh kar dam karte phir dono haathon ko apne chehre par aur jism ke jis hisse tak haath pahunch pata wahan pherte, aur jab Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam beemar hote to mujhe unke liye isee tarah karne ka hukm dete they.
Sahih Bukhari, Vol 7, 5748
--------------------------------------------------------
Comments
Post a Comment