Featured Post

* Part 3 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam *

Bismillahirrahmanirrahim

Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne kabhi kisi khane mein aib nahi nikala , agar aapko pasand hota to kha lete warna chorh dete, Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam itna thahar thahar kar baat karte ki agar koi shakhs unke alfaz gin lena chahta to gin sakta
Sahih Bukhari, Vol 5, 3563, 3567

.
Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ke gharwalon ko madine aane ke baad 3 din tak barabar kabhi gehu (wheat) ki Roti khane ko nahi mili, Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ke gharwalon ne kabhi ek din mein 2 baar khana khaya to usmein ek waqt sirf khajur hua karti thi
.
Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ka bistar chamdey (leather) ka tha aur usmein khajur ki chaal bhari huyee thi. Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ke ghar mein aisa mahina bhi guzarta tha ki ek mahine tak chula nahi jalta tha , sirf khajur aur pani se guzara hota
Sahih Bukhari, Vol 7, 6454, 6455, 6456,6458
.
Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ko halwa (sheerni) aur shahad pasand tha.
Sahih Bukhair, 7 / 5614
.
Aisha Radi Allahu Anha bayan karti hain ki Allah ki kasam Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne kabhi apney zaati Muamley mein kisi se badla nahi liya, haan magar jab Allah ki hurmaton ko toda jata to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Allah subhanahu ke liye badla letey they
Sahih Bukhari, Vol 8, 6786
-------------------------------------------------------

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day