Featured Post

Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam



Bismillahirrahmanirrahim

Part 10 - Seerat un Nabee Sal-Allahu Alaihi Wasallam

Anas bin malik Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Makka ke logo ne Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam se (nabuwat ki) kisi nishani ka mutaliba kiya to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne chaand ke do tukde karke dikha diye yahan tak ki unhone (makka walo ne) hira naam ke is pahaad ko in dono tukdo ke beech dekh liya
Sahih Bukhari, Vol 5, 3868

Abdul rahman Radhi allahu anhu se rivayat hai ki maine Mashruq Radhi allahu anhu se pucha ki jis raat Jinno ne Quran Majid suna tha uski khabar Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ko kisne di thi unhone kaha ki tumhare Walid Abdulah bin masood Radhi allahu anhu ne bataya tha ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ko jinno ki khabar ek (babool ke) darakht ne di thi
Sahih Bukhari, Vol 5,3859

Hadith: Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya main us paththar ko pahchanta hu jo makke mein hai aur wo mujhe nabuwat se pahle bhi salam kiya karta tha main usko ab bhi pahchanta hu
Sahih Muslim, Vol 6, 5939

Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Ruku aur Sazda pure taur par Ada kiya karo ALLAH ki kasam jiske haath mein meri jaan hai main apne Kamar ke peechey se tum logon ko dekh leta hu jab tum log Ruku aur Sazda kartey ho
Sahih Bukhari, Vol8, 6644

Comments

Popular posts from this blog

Dua e Noor-to get Noor (light) in heart and body

✦ Namaz mein salam pherne ke baad ye dua padhna sunnat hai

When you read this while entering the mosque, you will be free from the devil for a whole day