Bismillahirrahmanirrahim
✦ Mafhum-e-Hadith: Azan ke baad ye kahne par Allah subhanahu uske gunah maaf farma deta hai
--------
✦ Sad bin Abi Waqqas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jo shakhs muazzin ki azan sunne ke baad ye kahe
وَأَنَا أَشْهَدُ أَنْ لاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَحْدَهُ لاَ شَرِيكَ لَهُ
وَأَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ
رَضِيتُ بِاللَّهِ رَبًّا وَبِالإِسْلاَمِ دِينًا وَبِمُحَمَّدٍ رَسُولاً
Wa Ana Ashadu An La ilaha illallah, Wahdahu La Sharika Lahu, Wa Anna Muhammadan Abduhu Wa Rasuluhu, Radittu Billahi Rabban Wa Bil-Islam Dinan, Wa Bi Muhammadin Rasulan
( Tarjumah: Main gawahi deta hu ki Allah ke siwa koi mabud nahi, wo akela hai uska koi sharik nahi, aur beshak Muhammad Sallallahu Alaihi wasallam uske bande aur Rasool hain, main raazi hu Allah ke RAB hone par, Islam ke deen hone par aur Muhammad Sal-Allahu Alaihi Wasallam ke rasool hone par)
to Allah subhanahu uske gunah maaf farma deta hai
Jamia Tirmizi, Jild 1, 200-Sahih
Comments
Post a Comment